Page 7 of 15 FirstFirst ... 56789 ... LastLast
Results 61 to 70 of 144

Thread: english mana hai!!!

  1. #61
    Join Date
    Jan 2009
    Location
    Zameen pay
    Posts
    12,555
    Mentioned
    11 Post(s)
    Tagged
    6388 Thread(s)
    Rep Power
    21474865

    Default Re: english mana hai!!!

    Quote Originally Posted by Mr.Bean View Post
    shukar hai mujhay angraizi nahi ati warna mushkil ho jata khud ko qaboo main rakhna aur sath sath yeh bhi buhat acha kia app nai k hamain yeh keh diya k jawab zayada say zayada lamba ho ... woh kia hai na k hamain aur koi too kaam hota ahi nahi waila banda yehi dhondh raha hota hai k akhir chawal marain too marain kahan ... aur aik app hain k khud hi chalay aye wese main yeh bata don k main yahan kabhi kbahi hi ata hon yeh sachii dosti ki achi kismat hai warna hamain jhailna in k buss ki baat hi kahan ... is baat ki tasdeek Naaz aur mojoda Jerry buhat hi tafseel say kar sakti hain ... main yahan pata nahi kitna porana hon ... par lagta hi nahi mujhay k main porana hon ... kiyon k porana hon jo nahi ... agar app ko meri baat samajh main nahi arahi hai too ghabrana nahi yahin par parhna band karoo aur uth kar jaoo pani pee kar ajaoo ... haaan too agaye na .. ghabrahat main kami hoi hogi paani peenay k baad ... wese pani zayada peena chahiye ... us k buhat say faiday .. faiday main bataon ga nahi kiyon k is kaam k liye Hakeem baithay hain un ko kharcha pani do aur maloomat hasil karoo akhir unki bhi roozi roti ka sawal hia na ... aur baqi rahi baat k bhai jawab zayada hona chahiye too app nai bataya hi nahi k kitna bara jawab hona chahiye ... kiyon k hamain naaap tool kar jawab daina acha lagta hai ... ab masla yeh hai k hamain khud bhi samajh main nahi araha hai k itna jawab kafi ahi ya aur likhain wese likhnay main hamain koi paraishani nahi hai siwayee is k ... k bijli na chali jayeee.. ab itni mehnat say itna sab kuch likhnay k baad bijli chali jaye too soochain bijli ghar walon par too itna ghussa nahi ayega jitna app par ayega k hamain kis kaam par laga diya ... laikin yeh bhi hai k apki kismat achi hai k hamaray pass bijli janay ka time nahi howa hai ... aur janay main taqreeban abhi 4 ghantay baqi hain ... wese apas ki baat hai jitna maza likhnay main ata hai us say zayada maza parhnay main ata hai ... kiyon k banday ko pata hi nahi chalta k woh kia parh raha hai aur kab say parh raha hai aur main jo likh raha hon yeh parhnay k baad too yaqeenan app ka emaan taza hojayega aur yeh khayal dil main zaror ayega k ayenda koi sawal nahi poochain gay ya phir kam az kam poochnay k baad yeh zaror likhain gai k iska jawab Mr.Bean na dey ... masla yeh nahi hai k app k sawal main masla tha masla yeh hai k masla mere daftar main hai k yahan koi kaam hi nahi hota ab main kia karon ittefaqan app k dhagay par nazar par gayi aur ittefaq par ittefaq yeh k main jawab dainay bhi agaya aur ab kia karain likhna too hai na akhir app ka hukum hia usay bhi nahi taaal saktay ... acha woh sab too theek hai batain too hoti hi rahain gi app apni kuch sunayen na hum bhi janna chahtay hain kuch app k baray main


    /read1

  2. #62
    Join Date
    Jan 2009
    Location
    Zameen pay
    Posts
    12,555
    Mentioned
    11 Post(s)
    Tagged
    6388 Thread(s)
    Rep Power
    21474865

    Default Re: english mana hai!!!

    Quote Originally Posted by Muzamal Ahmad Khan View Post
    ap apni smjh nahi istimaal krskten.....
    ajeeb o gareeb nick wali orat!!!!!!

    :O





  3. #63
    Join Date
    Apr 2008
    Location
    City Of Lights ....
    Posts
    36,362
    Mentioned
    7 Post(s)
    Tagged
    2098 Thread(s)
    Rep Power
    21474889

    Default Re: english mana hai!!!

    Quote Originally Posted by Muzamal Ahmad Khan View Post
    yahan par ap b galti kr aye janab......
    ye jo alfaaz ap ny ooper tehreer kiye hen ye galban angreezi me shaamil hen.....
    app say baat kartay howay agar hum angraizi ka istemal karain too ghalati kahiyee ga

  4. #64
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Apne E Ap mein,,,
    Posts
    20,230
    Mentioned
    12 Post(s)
    Tagged
    3230 Thread(s)
    Rep Power
    21474871

    Default Re: english mana hai!!!

    Quote Originally Posted by Mr.Bean View Post
    app say baat kartay howay agar hum angraizi ka istemal karain too ghalati kahiyee ga
    sirf mjh sy baat krtay hue e nhi....
    is jaga py b angreezi mana hai.....


  5. #65
    Join Date
    Apr 2008
    Location
    City Of Lights ....
    Posts
    36,362
    Mentioned
    7 Post(s)
    Tagged
    2098 Thread(s)
    Rep Power
    21474889

    Default Re: english mana hai!!!

    Quote Originally Posted by Muzamal Ahmad Khan View Post
    bhai intahai mukhtasir magar tafseelan jawab deny ka shukr shukriya,,,,
    ap k andaz byaan me sift e batooni pai jati hai or ye kiya hoti hai???
    apny ap sy pochiye,,,,
    waqae jawab ki tawalat magar mukammal o kamil o jamay hony ka andaza husn e tarteeb o tarteel sy lagaya jaskta hai,,,,
    mje ap ka shagird e khas bn kr hr khas o aam ki khidmat me yehi arz kroon ga ka mr bean ka naam parhna e kafi hai.....
    or ye naam in ki ilmi fazilat par daal hai...
    baqi me paani to peenay nhi gaya magar 3 br apni in gunah gar ankho sy tawaqquf dalny waly nishan e sakoon ko dekha,,,,,
    ab ye kiya hota hai ye ek khas nishan ya elamat jo thori der bad parde pe jalwa gar ho jati hai......
    umeed hai smjh gae hoon ge..
    nhe to kabi zati tor pe rajoo kr k mjh sy pooch lejiye ga

    is main shukriya ki kiya baaat hai janab yeh too hamara wailay baithtay howay farz banta tha k hum app ko taseeli baikar sa jawab dain ... ab kia karain apnay naaam ki laaaj bhi to rakhni hia na .... hum app say kuch nahi poochain gai bus app hamain jawab pe jawab martay rahain aur hum app ko jawab pe jawab chipkatay rahain gai ... apko shagird bananay main hamain zara bhi koi paraishani nahi albatta hamara shagird bannay k baad ap ko kafi mushkilaat ka samna karna par sakta hai woh kia hai na k zamanay main jahan loog acha kehtay hain wahin kuch hamaray khilaaf bhi hain too woh hamaray shagirdon ko nishana banatay hain aur hum khuddaar ustaad hain isilya shagirdon ki madad bhi nahi kartay hain k woh agar shagird banay hain too khud say hi muqabila karain zamanay ka

    agar app pani pee laitay too yaqeenan yeh halaat-e-zaar na hoti jo app nai bayan ki halan k hamain zara brabar bhi samajh main nahi aya par phir bhi hamain afsos hai k app k sath jo kuch bhi howa woh yaqeenan kam hi howa hai /read1chaliyee koi baat nahi ab shoro ho hi gaya hai kuch hona too ahista ahista is main izafa ki umeed k sath baithay hain ... kiyon k kaha jata hai k umeed par duniya qayem hai to hum bhi duniya k sath chalnay main hi fakhar mehsos karna chahain gai ... rahi app ki baat to app ka kia hai jo bhi ho bardasht too khair say app ko hi karna hai na

  6. #66
    Join Date
    Apr 2008
    Location
    City Of Lights ....
    Posts
    36,362
    Mentioned
    7 Post(s)
    Tagged
    2098 Thread(s)
    Rep Power
    21474889

    Default Re: english mana hai!!!

    Quote Originally Posted by Boo View Post
    /read1
    app say too hum mahoo-e-gufto na thay fir kiyon app nai kisi aur ka yeh akhbar khana ghaneemat jana jis main hamari tehrer shaya hoi thi

  7. #67
    Join Date
    Apr 2008
    Location
    City Of Lights ....
    Posts
    36,362
    Mentioned
    7 Post(s)
    Tagged
    2098 Thread(s)
    Rep Power
    21474889

    Default Re: english mana hai!!!

    Quote Originally Posted by Muzamal Ahmad Khan View Post
    sirf mjh sy baat krtay hue e nhi....
    is jaga py b angreezi mana hai.....

    daikhiyee mohtaram agar app yeh samajhtay hain k app ki yeh baat hum nihayat izzat say maan lain gai too yeh app ki ghalati hai app hamain 2,3 dhamkiyaan dain takay hum dar k app ki is iltija par amal karain

  8. #68
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Apne E Ap mein,,,
    Posts
    20,230
    Mentioned
    12 Post(s)
    Tagged
    3230 Thread(s)
    Rep Power
    21474871

    Default Re: english mana hai!!!

    Quote Originally Posted by Mr.Bean View Post
    is main shukriya ki kiya baaat hai janab yeh too hamara wailay baithtay howay farz banta tha k hum app ko taseeli baikar sa jawab dain ... ab kia karain apnay naaam ki laaaj bhi to rakhni hia na .... hum app say kuch nahi poochain gai bus app hamain jawab pe jawab martay rahain aur hum app ko jawab pe jawab chipkatay rahain gai ... apko shagird bananay main hamain zara bhi koi paraishani nahi albatta hamara shagird bannay k baad ap ko kafi mushkilaat ka samna karna par sakta hai woh kia hai na k zamanay main jahan loog acha kehtay hain wahin kuch hamaray khilaaf bhi hain too woh hamaray shagirdon ko nishana banatay hain aur hum khuddaar ustaad hain isilya shagirdon ki madad bhi nahi kartay hain k woh agar shagird banay hain too khud say hi muqabila karain zamanay ka

    agar app pani pee laitay too yaqeenan yeh halaat-e-zaar na hoti jo app nai bayan ki halan k hamain zara brabar bhi samajh main nahi aya par phir bhi hamain afsos hai k app k sath jo kuch bhi howa woh yaqeenan kam hi howa hai /read1chaliyee koi baat nahi ab shoro ho hi gaya hai kuch hona too ahista ahista is main izafa ki umeed k sath baithay hain ... kiyon k kaha jata hai k umeed par duniya qayem hai to hum bhi duniya k sath chalnay main hi fakhar mehsos karna chahain gai ... rahi app ki baat to app ka kia hai jo bhi ho bardasht too khair say app ko hi karna hai na

    nwazish,,,,

    kehhtay hen k aqal mand tb e bolta hai jb sb khamosh hojaty hen,,,,,
    kiya smjhe???
    jb ap ka tafseelan jawab ikhtatam pazeer hota hai to mje jawab dena e parta hai

    baaz okaat shagird aasy sawal b kr e letay hen jin ka jawab ustaad k pas b ni hota,,,
    to agar ap ko meri bat smj ni ayi to ye koi nae baat ni hai

    koi bat nhi ap ko bardasht krna koi masla nhe hai,,,,,,


  9. #69
    Join Date
    Apr 2008
    Location
    City Of Lights ....
    Posts
    36,362
    Mentioned
    7 Post(s)
    Tagged
    2098 Thread(s)
    Rep Power
    21474889

    Default Re: english mana hai!!!

    Quote Originally Posted by Muzamal Ahmad Khan View Post
    nwazish,,,,

    kehhtay hen k aqal mand tb e bolta hai jb sb khamosh hojaty hen,,,,,
    kiya smjhe???
    jb ap ka tafseelan jawab ikhtatam pazeer hota hai to mje jawab dena e parta hai

    baaz okaat shagird aasy sawal b kr e letay hen jin ka jawab ustaad k pas b ni hota,,,
    to agar ap ko meri bat smj ni ayi to ye koi nae baat ni hai

    koi bat nhi ap ko bardasht krna koi masla nhe hai,,,,,,

    baat baat par nawazish mat kahiyeee ... shargird banay hain na

    matlab jo khamosh hojatay hain woh aqalmand nahi hotay ya fir saray hi aqal mand hain jo bari bari batain kar rahay hain

    shagird isi waja say baaz dafa buray lagtay hain k woh sawal ajeeb say pooch laitay hain jin ka jawab hi nahi hota ya fir jawab hotay howay bhi ustaad jawab dainay jaisa nahi rehta

    hamain app ki khud aitemadi pasand ayi

  10. #70
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Apne E Ap mein,,,
    Posts
    20,230
    Mentioned
    12 Post(s)
    Tagged
    3230 Thread(s)
    Rep Power
    21474871

    Default Re: english mana hai!!!

    Quote Originally Posted by Mr.Bean View Post
    baat baat par nawazish mat kahiyeee ... shargird banay hain na

    matlab jo khamosh hojatay hain woh aqalmand nahi hotay ya fir saray hi aqal mand hain jo bari bari batain kar rahay hain

    shagird isi waja say baaz dafa buray lagtay hain k woh sawal ajeeb say pooch laitay hain jin ka jawab hi nahi hota ya fir jawab hotay howay bhi ustaad jawab dainay jaisa nahi rehta

    hamain app ki khud aitemadi pasand ayi
    mera khayal hai k nwazish ka lafz me ne bar bar istimal nhe kiya.....

    ap chir rhe hen to theek hai nhe krnga 2bara....

    wesay ap ko begum nwazish ali sy chir to nahi jo aaj ek mashhoor( mezbaan hen


Page 7 of 15 FirstFirst ... 56789 ... LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •