Sohail apnay aap say keh raha tha..." jab meri aur teri mohabat ka afsana aam ho ga to mustaqbil k naqadon aur mubasiron ko aaj k syasi, muasherati, aur iqtasadi halat samajhnay main bari asani ho ge...un ko zor laga laga ker puranay qison aur qadeem dastano say us waqt ke ghutam k asaar alamaton main talash kernay ke bajay seedhay sabhao maloom ho jay ga k Sohail Shaista per jan kion deta tha aur dono ke aik dosray ko pasand kernay ke waja kia the"....
Shaista hairani say Sohail ka mun taknay lagi, woh keh raha tha....over- indulgence say aur be payan izhar say aur la yani communication say bilkul thak ker tum say mohabat kernay per majboor ho gaya....meri mohabat aaj pehli mertaba mere asal wajood main plant hui hai......
aisi he aur bhi bohut say la yani batain kertay kertay sohail Shaista ke gaod main so gaya..to Shaista nay narmi say us ka ser serhanay per rakha aur wahan say nikal ayi....
Serak k kinaray is nay lahore ke taraf janay wali bus ko hath de ker roka aur apnay ghar ravana ho gai..jahan us ke saheeliyan us ke mehndi ke raat main ludi k bad bhangra dal rahi thiin"........
Ashfaq Ahmad