w salam
lagta hai lucky ki shadi hone wale hai is liye information akhati kar rahee hai
Waise to situation per depend karta hai lakin saas aur baho k
beach main important person hota hai husband to mare khayal se
agar woh dono ko un k haqooq day aur koe masla hone par dono
ki baat neutral ho kar sune to mera nae khayal k ghar main jhagre
fasad hoon waise to ghar k sabhe he mem per zimadari hai ghar
ka mahool theek rakhne ki but i thing husband per zayada hote hai
Yaad Teri Orh Ker Main So Gaya
Khawab Ka Der Khul Gaya Barish Ke Baad
Chand Dekh Ker Badloon Ki Qaid Main
Ik Sitara Ro Deya Barish Ke Baad
My prayer, my offering, my life and my death are all for Allah SWT, the
Lord of all the worlds..
My prayer, my offering, my life and my death are all for Allah SWT, the
Lord of all the worlds..
mere khayal main teeno he zaimaydar hotay hain.....coz saas baho ka rishta aisa hai keh...ik dosray per ilazam laga ik dosray ko necha dikhana yeh shamil ho jata hai kch gahron main sab ik jesay nai hotay....kayi dafa husband hota hai aisa keh larayi ki waja wo hota hai....over all i mean depend kerta hai sab keh kaya situation hai or kon kis hisaab ka hai...
balance rakhna buht zaroori hai...kayi dafa biwi kehti hai keh ais say shadi hoyi hai tu ab yeh mera he hai ais k gahar walon ka haq nai ais per tu wo husband ko ker deti hai pagal jis say halaat kharab hotay hain
kayi dafa saas yeh sab bardasht nai kerti keh betay ki muhbbat bat jaye tu phir halaat kharab hotay hain....
respect denay or payar muhbbat say zindagi guzarna buht kam log chahtay hain aj kal....
SD ki Basanti
Chal DhanoOo
I Love the feelings When U Hold My Hand....
wow kia jawab dia hai....
janab baat ye nahi k wo sara din ghar par nahi hota ya us ko fursat nahi hoti...wo ghar par ho ya na ho wo jo chahy kr skta hai...wife and saas ka b kuch na kuch qasoor hota hai but husband chahy to kuch nahi hoga...
g bilkul theek kaha...
but ghar k halaat ko husband hi handle kr skta hai agr wo chahy to ghar k bighry hooye halat theek ho skty hain bal k agar wo chahy to aisy halaat paida hi na hon...
acha........
g ghalti sb ki hoti hai but us ghalti ko sudhaarny wala aik hi kaafi hai...
Khud Ko Bud Naseeb Kehny K Gunaah Say Bachty Raho
muaashi halaat ko to aik taraf rakhen coz agar ghar main sb ittefaaq say rahen gay to ghar k muashi halaat kaisy b kion na hon zindagi achi basar ho jaati hai...but agar ghar k muaashi halat achy hon or logon main ittefaaq na ho to sb aik jaisa hi hota hai....
yes u r right, husband main hai...
agar wo donon ko un ki jaga par rakhy or un ko btaaye k un k kia fraayez or kia haqooq hain to ghar k halaat behtar ho skty hain...
yes haqooq ul ibaad ko to dunyaa bhool hi chuki hai...agar wo is cheez ko madd e nazar rakhen to ghar to kia poora mulak sudar skta hai...
Khud Ko Bud Naseeb Kehny K Gunaah Say Bachty Raho
Khud Ko Bud Naseeb Kehny K Gunaah Say Bachty Raho
hmmmm sahi har dafa aik hi bandy ki ghalti nahi ho skti...but har dafa ki ghalti ko khatam sirf husband hi kr skta hai...
main ye nahi kehti k husband lraae jhagry krta hai...nahi,,,bal k wo wife and saas ko control kr skta hai...coz aaj kal k husband wife ko sb kuch smjhty hain or parents ko bhool jaaty hain k unon ny usy paida kia or kisi qabil bnaya...
yes u r right...
but husband ko chahiye k wo apni wife ko btaaye k wo us k parents hain usy un ki respact krni hai un ki khidmat krni hai...un k saamny zubaan draazi nahi krni...
to mujhy nahi lgta k koi b banda bagher kisi waja k kisi say lraa e jhagra kry...
Khud Ko Bud Naseeb Kehny K Gunaah Say Bachty Raho