Muhabbat jin se hoti hai
Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai
Yaqeen ki akhri manzil pe akar bhi
Koi khadsha, koi shak, koi andesha
Buhat bechaen rakhta hai
Muhabbat jin se hoti hai
Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai
Kahin ye visal ke lamhe
Badal jayain na furqat mai
Kahin ye qurb ki ghairiyan
Judai main na dhal jayain
Kahin aisa na ho k koi usko badgumaa kar de
Kahin aisa na ho k
Jis ko hum ne hasil-e-umr-e-rawa samjha
Jhatak kar hath wo bedard sab kuch raiga kar de
Kahin aisa na ho k
Wo meharbaan ankhain badal jayain
Kahin aisa na ho k
Ye garamjoshi sard par jaye
Tapaak-e-jaa’n se milne ki rawish
Yakh basta ho jaye
Ada’e dilbarana berukhi ka roop dhare
Aur dil ka dard ban jaye
Muhabbat jin se hoti hai
Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai
Kabhi mahfil mai sab ke samne wo ahtiyatan bhi
Agar nazrain churaye tou dil pe chhhoot lagti hai
Ansoo’n ka mena barasta hai
Kabhi masrofiat mai, mahwiyat mai
Phone ki ghanti ka wo notice na le
Aur rabte ka silsila moqoof ho jaye
Dharak uthta hai dil
Kya janea kya ho gaya us ko
Tawajja mai kami kyun agai…?
Kyun us ki janib ik sannata sa chaaya hai….?
Jo apna is qadar apna tha
Akhir kyun paraya hai..?
Muhabbat jin se hoti hai
Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta ha