Yadooon ki Baraaat Part 1 ......
Bachpan main ... main kafi chota howa karta tha ... laikin yeh waqyiyaa tab ka hai jab main thora bara hogaya tha bolay too 11 saal ka mairay sath bachpan say aik dost hai jo ALHAMDULILLAH ab tak ahi us ka Raheel hai hum dono aksar hi kuch naya karnay ki sochtay thay bachpan say hi ( Naya Khaak kartay Poranay bhi kharab kar daitay tha )
Garmiyon ki Chuttiyan thin Schoool say karnay ko kuch tha hi nahi wese too school ka home work tha 2 Maheenay ka par woh kisay yaad rehta hai woh too last k 7,8 din main khayal ata hai k " Hayela Kaapiyan (Copies) bhi bharni hain " ..... woh alag baat hai k akhir dino main yaad ajanay k baad bhi hum nai konsa kabhi Home Work karliya ho ... wese jee sunana too waqiyaa hai par qissa sunanay say pehlay mahool ka banana bhi too zarori hai na too buss wahi bana raha hon hosla rakhain aur tissue bhi sath rakhain paseenay khush kartay rahain
doston qissa mazahiyaa aur thora adventerous ho to us main thora sa Masala plus masti daaal nay say suna hai kahani main jaan ajati hai woh alag baat hai k Qissa parhany walon ki Jaaan nikal jati ho khair ab hum kia karain likhnay par majboor karain gai too aisa too hoga na aisay kamo main app ko batata chalon k hum pehlay jahan rehtay thay woh aik kafi porana Plaza tha ... Sarkari tha ya kia .. par peelay color ka tha pora plaza .. total 20 flats thay us main 2 Rooms k walay ... uski Electric wiring aur Pani ka Nizaam sab Open hi tha ... Akhiri Waqton main Plaza ki halat aisi ho gayi thi k Chaton say Sariyeee dikhayi dainay lagay thay aur rehnay walon ko apni apni Qabrain dikhnay lagi thin k pata nahi kab yeh chat par giray aur hum zameen boss ho jayen
Haan too main app ko Garmiyon ki Chuttiyon ka qissa sunanay laga tha Raheel aur Mere Karnamon main say Aik Karnama howa kuch yun k ... Cricket khail khail kar jab hath pair zakhmi karaliye .. too karnay ko aur kuch bacha nahi tha .. aik Atari Game tha woh bhi khail khail kar demagh ki wiring jal gayi thin too aik dupehar buhat hi Thandi Sari hoi Dhoob main hum dono yani Raheel aur main Gallery main kharay thay aur sooch rahay thay k ab karain too karain kia too achanak hamari nazar Gallery ki chat say guzartay pipe par pari
Too je Pipe ki baat ho rahi thi Pipe Mota sa tha par zayada mota nahi tha aur porana bhi kafi tha ... 1950 ka plaza jo tha ... Raheel nai kaha " faisal is pipe par lataktay hain " 1 aur hathon k bal chaltay howay 2osray konay tak jatay hain daikhtay hain kitna door ja patay hain .... Idea too acha laga hamain pehlay hum dono aik aik kar k pipe ko cross karnay lagay goya aik race thi jis main milna milana kuch nahi tha buss hath thakanay thay
jab kayi baar hum nai race laga li aur acha say hathon ko thaka liya too fir soocha k kiyon ab dono hi yeh Azeem kaam sar anjaam dain us waqt clifhanger new movie ayi too hamaray jazbay bhi garam thay kafi haan ji too hum do dost chalay apnay adventure par ... Shoro ka rasta sahi raha ... laikin .... jab hum dono Darmiyaaan main pohanchay too Pipe line ka Jore agaya ... ham doston main apas ka jor bhi kafi tha isilya Pipe ka Jor Nazar Andaaz kartay howay apnay Jor par Dehan diya aur chal par hathon ko zehmat daitay howay laikin afsos woh Pani ka Pipe Ham Doston k Jor ko Bardasht na kar saka aur apnay Jor ko mazeed na sambhal saka aur Jor say hi Toot gaya wahan pipe ka jor toota aur yahan hum do doston ka jor bhi toot gaya dono zameen par agiray aur paani ka fawwara jari hogaya tootay howay pipe say
hum dono 1 min tak khud ko sehlatay rahay jab Paani jism par parnay ka ehsas howa too demagh nai kaam karna shoro kia ... hum nai apnay time pass k liye uper k floor k 5 gharon ko pani say mehroom kardiya tha jis main say 2 ghar hum do doston k hi thay
busss jee fir kia tha ... kuch aur samajh main aya nahi aur ata bhi kaisay kiyon k us moqay par aik hi baat samajh main ati hai sab ko k " chal oyeee Bhaaaag " Dupehar k Ghaliban 3 bajay hum nai yeh Munh Karaya aur Shaam 7 bajay tak ghar say bahar rahay aur jab wapis aye too hum say zayada miskeen aur masoom zamanay main nahi tha .... kiyon k jis waqt yeh karwayi hoi us waqt sab so rahay thay na .... hum say poocha gaya k yeh kis nai kia too hum dono kuch aisay thay " hamain kia pata " aur fir pipe ki murammat ka kaaam hogaya raat 10 bajay tak ...
Busss jee yeh hai Pehla Mukhtasir sa Qissa Aram say parhain ... main aur koi yaaad karta hon