is bar winner hian

Hijab


inho ne 3 votes se win kiya hai

Many congratz


inki sharing

or yeh wo tasver jis per inho ne likha tha.


23rjqs2 - winner of Urdu Adab Comp March 2010


Mein aj bhi uni rahon mein khari hoon jahan per tum se bichri thi. Asman aaj bhi unhi siah udas badlon mein ghira hua hai jin mein us din ghira tha. Is rah ke shajar aaj bhi usi taran bain kertay hai, jaisay hamari judai ki ghariyon mein kiye thay.Mere haton mein tumhare pasandeeda safaid pholon ka guldasta bhi abhi tak nahi murjhaya. Is ki sehar-angaiz mehka se aaj bhi mera roum roum mehk raha hai. Mere hathon per tumhare haton ka lams aaj bhi zinda hai, jo pal pal mujhe tumhare honay ka pata deta hai.Jatay samay tum ne mere bhikray gesyon ko apnay hathon se sanwara tha. Meri ankhon se behtay ashkon ko apni ungliyon ki poro per puraya tha, aur kaha tha, "in ankhon mein anso mat anay dena, in mein mere khawab parona, meri yaad ke deep jalana, mere intizar kerna,".Aur mein aaj tak tumharelehjay ki ghambeerta aur tumhare lafzon ki chashni mein gum hoon.
Mein tou yeh bhi bhool gaye hoon ke mere thikana kahan hai.Mujhe wapis bhi jana hai.

Mujhe tou yeh ehsah tak nahi hota ke mera wajood bhikar raha hai.
Mere ankhon se behtay askh manjmind ho gaye hein. Intizar ki shama
bujh rahi hai, dharkan rukti jaa rahi hai. Yeh zalam hawa teri mehak
bhi mujh se cheen rahi hai, mujhe bay-nishan ker rahi hai. Mujhe lamha
lamha mar rahi hai.Mein tou aaj bhi uni lafzon mein khoye hoon, jo tum ne mujh se kahay thay.Faqt usi jumlay mein uljhi hoon, jo akhri baar tum ne apnay labon
se nahi apni ankhon se kaha tha aur woh meri rooh mein utra tha.
"Mein tum se bichar raha hoon, juda nahi ho raha, mera intizar
kerna!"