Main ne kabhi socha bhi nahi tha k
aaj ki subha mujhye kuch batana chati hai
phone ki ring per jab meri aankh kholi tu
main ne sana se rone ka sabab pocha
woh kuch kahna chati thi per
us k alfaaz uska saath nahi de rahye thy
fir bade israar k baaad usne kaha k bhi main hijar main ho hijar ki saza mili hai mujhye aur woh roti gayi
main ne gusse se phone kaat di
Main mohbbat se anjaan ye hijar ka dard kaise samjhti
bas uski awaaz mere kaano main baar baar goonj rahi thi
mujhye woh hijar ki saza k abhi main hijar main ho mujhye kiu hijar ki saza mili hai
main na chate howe bhi ghyeri soch main doob gayi thi
shyed apne aap se sawaal ker rahi thi k ye hijar kaya hota hai?
bhut sochne k baad main ne apne dsot se pocha
Sarim aur main bhut ache dsot thy ham akser eak dosre se
baat kerty thy
mian ne kaha sarim ye hijar kaya hota hai ?
aur esmain saza kaisi
zara batana mujhye main es lafz ko leker kafi preshaam ho
sarim ne kaha khuda na kare
es hijar ki aag
tumhe kabhi choo ker bhi jai
tumhare dil ki sada main ye lafz na aaye akbho
Tum abhi bhut masoom ho tum abhi bhut nadaan ho
tum hijar ka dard na sah paongi tum es aag main jholas jaongi
main ne dekha hai hijar ka dard
lamha lamha guzara hai main ne halat e eztraab ka
shab e firaq ki shidaton ki jang main
main akela jholasta raha
meri be zubaan rooh main eak maqsad e hayaat tha
use pane ka junoon tha per es hijar ki asodghi ne
mera sab kuch cheen liya saba
meri umeedon k chaman ko jala ker khaak ker gaya ye hijar
meri hasraton ko laho lahaan ker ke guzar gaya ye hijar
es makro fareb ki dunya se tum anjaan ho saba khuda na karey es aag ka eak shrara bhi utmhey choo ker jai
ta umer ki saza hai aur bada bewafa hai ye hijar
es se door rehna kabhi tum mohbbat na kerna!
udaas rooh k saat en yaadon ka hujoom mian
main bhut tanha hai mera wojood
Zubaa ki qaid main ander ander
mujhe reza reza ker raha hai ye hijar
meri zaat bikhar k es mian samit gayi hai
mian bhut tanha ho eak bojh hai mere sine main
jiska naam hai hijar
wafa ki zanjeer ne mujhe aaj bhi
us ki yaadon se baandh rakha hai
kafi arsa hogaya us se bichard ker
mager aaj bhi main uske saath ho
main kaya karo saba tumhari masoomiyat k aage
main apna dard bayaan na ker paya main darta tha
es dard ki hawa tumhe na choye kabhi
tum ayesi hi achi ho na koi gham e hijar hai
na koi na koi mohbbat ka ehsaas hai
tum ayese hi achi ho na
main bhut darta ho tumhe hijar ka ehsaan na ho kabhi
tum muskorati raho apne masoom labon se
ayese hi anjaan hoker pocha karo mujh se
main be tahasha roo pari
etna dard tumne apne sine main qaid ker rakha tha sarim
aur mujhye eska ehsaas tak hone nahi diya
jaise main use mehsoos rhai ho
uska her lafz jaise meri aab beti ho
es dard k saehra main jaise main uske saath thi
mera wojood reza reza hogya
main use apna gham chopna ka gunaah maaf nahi ker payi
mian tumhre hiajr ko mukamal mehsoos ker rahi ho
tum ne apni soch main etna tufaan kaise basa rakha tha
tumne sirf mere liye apne dard ko apne sine main qaid ker k us azaab se guzerna gawara kiya take main ayesi hi raho
main ne us se pata nahi kay kuch kah diya
aur main saari raat usi azaab se guzerti rahi
uska bola howa lafz lafz se meri rooh ko sakta laga
main uske tulakh halaat ki kaifiyat ko
shidat se mehsoos kerne lagi
us ka woh kehan saba main bhut tanha ho
bhut akela ho en yadoon ki zanjeer se
niklan chata ho main toot chuka ho
mujhe es hijar ne maar diya main zinda laash ho
mian eak masoom bache ki tarh rone lagi
aur kayi din tak es azaab de kafiyat se guzerne k baad
main sana k ghar jaker us se lipat k rone lagi
sana hijar ki zalim saza tumhe bhi mili
ghame furqat ki es aag ne tumhe bhi jalaya
sana mujhe maaf kerdena
subah main ne tumhra phone kaat diya
us waqat jab tumhe meri zarorat thi
mujhye kaya pata ye hijar kaya hota hai?
mujhye aaj saarim ne batya tu main ne jana
meraa saarim bhi es aag main jalta raha
aur uff bhi na ki tu sirf mere liye
woh mere samne apne aansoo chopa deta tha
aur meri masoom baaton ko soon ker
bhel jata tha sana main es mohbbat se anjaan thi
mujhyr fir hijar kiaisa samjhta
mager jistarh us se mera dard dekha nahi jata
usi tarh mian us ka dard dekh na saki
sab tuhi batana kaya yehi mohbbat hai?
kaya main saarim ko chhati ho?
ha mujhye aaj ehsaas howa k
main saarim se bhut mohbbat kerti ho
main abhi us se jaker kehti ho k
woh tanha nahi hai main uska her dard baaant longi
main ab use kabhi rone nai donge tarpne nahi dongi
saba ne mere ansoo ponchye aur housla diya
k main jaker us se ye sab kah do
jo main ne us se kaha jaker sarim se kaho
apni mohbbat ka ezhaarkaro
aur main es ehsaas ko shidat se
mehssos kerne k baad daort howii
saarim se milne gayi
main ne use bhut talash ki per woh kahi nahi mila
mera rooh kaanp rahi thi k akhir woh kaha chal gaya
mujhye bataye bina woh kahi jaa nahi sakta
mera etemaad toot raha tha.
main apni her soch se dar rahi thi k
mai use kaha talaash karo ?
mujhey saarim k dost ne eak khat diya
main rotey howe us khat ko parhne lagi
jismain likha tha
" Saba mujhey maaf kerdena main ne tumhe bhut rolya
main apne es hijar k dard ko chup chaap sah raha tha
mager tumare eak sawaal ne meri yaadon ko apne hijar main samit liya
es dard e hijar se judayi k zakham fir se harey hogaye
maain yaha jab tak rahonga woh mujhey yaad ati rahegi
aur ab tum bhi mujh se poch poch ker khud ko preshaan karongi
main tumhe koi dukh dena nahi chata es liye main ye shhar chord ker hamesha k liye jaa raha ho ab kabhi tumhe tang nahi karonga
apna gham suna ker tumhe dukhi nahi karonga main hamehsa k liye jaa raha ho shyed ab kabhi laout k na aao ayesi jaga jao jaha hijar ka aur meri yaadon ka naam o nishaan na miley bas usi jaga ki talaash main ho"
Tumhara dost
saarim
meri Mohbbat ne kuch kehne sunne se phele hi dam tour diya
ayesa kiu howa k mohbbat milne se pehel hi mujhye hijar ki saza mili
ab main kaya karo? kaash woh eak baar soon tu leta kaash use ye pata tu hota k mere zara sedukh ki waja se usne mujhe kis gham ki aag main jhoolas ker chala gyaa
Suno!
abhi tu mujhye mohbbat ka ehsaas howa hai
abhi tu mujhe es aur mehsoos kerna hai
tumhre saath guzre lamhon main her lams ko yaad kerna hai
abhi tu meri aaron main umang jagi hai
tumse lipat ker dil ki her baat kerna hai
Mager
mere saath ayes kiu howa?
mujhye woh kis baat ki saza degaya
Mujhye woh hijar ki saza degaya
kabhi pocha tu jo lafz uska qarz mujhye utarna honga
mujhe kaya pata tha nere nasoon sawaal ka qarz etna bada honga k taa umer k liye woh mujhey chord ker kaha chal gaya
ab main kaya karo kaise jio kaise saans lo kaise zinda raho
mohbbat k es ehsaas ne tu mera sabkuch loot liya
kaash main us se ezhaar ker pati.....
kaash....
kaya ab woh mujhye milega kabhi aur ger mil gaya tu kaya main ye himmat fir se juta paongi kaya use se kabhi kah paongi k main kitni aghori hio uske bin main bhut roti ho ab bas karo satan tum laot aaot na
abhi tu tumse bhut kuch kehna tha kaash main kah paati
kaash woh ye jaan tu leta mujhye us se kitni mohbbat hai
kaash main uska jawaab tu jaan paati k kaya woh bhi mujhye chhata hai
Suno!
ab main wayesi nahi rahi jaisa tum chate thy
abhi main masoom nahi ho abhi main mohbbat k ehsaas ko aur hijar k dard ko samjhti ho
ab mujhe bhi mohbbat ka ehsaas saari raat jagata hai
ab mujhye bhi tumhra intezaar rehta hai
eak baar mujhe tum dekh lona main kitni badal gayi ho
mujhey hijar ki saza di woh bhi bewaja kisi aur ki galti ki saza
di kisi aur k gunaah ki saza ab mili mujhye main kaya karo?
Tumhara intezaar karo?
ya unhi mar mar k zinda lash raho
mere wojood se apni maasomiyat ka hisaab lo ya mere hijar se tumhare jane ka sabab pocho
bataona main kaya karo en aansoon ka?
ab mudat hogayi main zinda laash ho
tum kaha ho meri ankhein tumhe donndhti hai
Mujhe talaash hai tumhari kaha ho tum?
mera ye kaisa behis hijar tha
jo mohbbat k ehsaas k saath agaya
zara sa bhi reham na aya es hijar ko mujh per
mera ye kaisa dost tha
jisne etna bada faisla liya
aur meri tarf palat ker bhi nahi dekha
main ab toot chuki ho
mujhye kis baat ki saza mili hai
main begunaah bewaja ab hijar ki saza main ho
ab main apni mohbbat ko kaya naam do ?
mujhye anjane main woh hijar ki saza degay
kaash eak baar mujhye ye kehne ka mouqa tu de deta
mujhe kisi aur k gunaah ki woh saza de gaya
kayi gham mere naam kerke mujhye woh hijar ki saza degaya
mujhe zinda laash kerke mujhye woh hijar ki saza de gaya
Writer
Reshma