-
Iqtibaas Competition of the Month July...!!
Salam friends
Is thread may Aaap ko Umera Ahmad k iqtbaas share kerny hain..sath may Book ka naam zroor likhy
winner Ko SD shield Di Jaye Gi
21 July ko thread close ho jaye ga or phir polling ho gi
Aik member aik hi iqtbaas share ker skta hy
hope k last time ki terha is baar bhi achay achay iqtbaas perhny ko milay gay ...Aap ki posts ka intzaar rhay ga...
Last edited by DaNgErOuS tEaRs; 11-09-2012 at 10:18 PM.
-
Re: Iqtibaas Competition of the Month July...!!
Umera Ahmed ke novel ~*~Tora sa asman~*~ se yeh paragraph jo mujhe pasand aya.
"Hum main se her shaks apni zindagi main aik jung lurta hai aur wo jung her aik ko khud he larne parti hai.koi dosra ap ke liye larta hai na app ko kisi dosre se yeh tawaka hone chahye"
"Thokar lagne per girne ke bad sirf aik kam karna chahye,dobara kahre hojana chahye.her bar girne per yehe karna chahye yaha tak ke app waha pohnch jaye jaha app pohnchna chahte hain"
-
Re: Iqtibaas Competition of the Month July...!!
Walekam-Aslam
From Peer-e-Kamil (S.A.W.W)
“Zindagi mein ham kabi na kabi os maqam per aajatey hein jahan saarey rishtey khatam ho jate hein.Vahan sirf ham hotey hein aur ALLAH hota ha. Koi maan baap,behan bahi,koi dost nahi hota. Phir hamein pata chalta ha ke hamarey pairoon ke neechey zameen ha na hamarey sir ke oper koi aasmaan,bus sirf aik ALLAH hai jo hamein is khala mein bhe thamey hoye ha. Phir pata chalta ha ham zameen per parii mattii ke dher mein aik zarey ya dharakht per lagey hove aik patey se zada ke voqat nahi rakhtey . Phir pata chlata ha ke hamarey honay ya na honey se sirf hamein he fark parta ha. Sirf hamara kirdaar khatam ho jata hai. Kaenaat mein koi tabdele nahi aatii,kissi cheez per koi asar nahi perta.”
” Har aik ko bikhari bana kar rastay me bithaya hua hay, aur har aik khud ko malik samjhta hay.jab tak thokar nahi lagti, jab tak ghutnoon par nahi girta apni aukaat ka pata hi nahi chaltaa. wojood kay naseeb main hay bikhari hona bus Zaat bikhari nahi ho sakti. Wojood kay muqadar me mangana hay Zaat ka wasaf daina hay. Main to kia BB! sab bikhari hain. Aj nahi to Kal, Kal nahi to parson kabhi na kabhi bikhari banna hi parta hay.Mangana hi hota hay. Koi Ishq mangata hay koi Duniya or jo yeh nahi mangta woh Khuahish Ka Khatam hona mangata hay.”
-
Re: Iqtibaas Competition of the Month July...!!
AMAR BAIL ............PAGE #128
Zindagi main aik cheez hoti hay jisay Compromise kehtay hain....pur-sakoon zindagi guzarnay k liay is ki bohat zaroorat parti hay...jis cheez ko tum badal na sako is k saath compromise ker lia kro, mager apni kisi bhi khuahish ko kabhi bhi janoon mat bnana, keon k zindagi main kuch cheezain aisi hoti hain jo hmain kabhi nahi mil sakteen...chahay hum roain, chillain,,,ya bchon ki tarah airian rgrain...wo kisi dosray k liay hoti hain...magar is ka yeh matlab nahi k zindagi main hamaray liay kuch hota hi nahi...kuch na kuch hmaray liay bhi hota hay
-
Re: Iqtibaas Competition of the Month July...!!
"Baz dafa khamoshi wajood per nahi...dil main uterti hay...phir is say ziada mukammil, khoobsurat aur ba-mani guftagu koi aur cheez nahi ker sakti...aur yeh guftagu insaan ki saari zindagi ka Haasil hoti hay aur is guftagu k baad aik doosray say kabhi dubara kuch kehna nahi perta....Kuch kehnay ki zaroorat rehti hi nahi"
(La-Hasil)
-
Re: Iqtibaas Competition of the Month July...!!
-
Re: Iqtibaas Competition of the Month July...!!
beautiful sharings, sab he bohat lajwaab hein
-
Re: Iqtibaas Competition of the Month July...!!
salam everyone
nice topic
well, here's my sharing....ye iqtabaas Peer-e-Kamil se hai.
"Har Insan ko Zindagi main kabhi na kabhi kisi Peer-e-Kamil ki zaroorat parti hay,kabhi na kabhi Insani zindagi us mor par aa kar zaroor khari ho jati hay jab ya lagta hay k hamaray labon or Dilon se nikalnay wali Duayain be-asar ho gai hain,hamaray sajday or hamaray phailay huay hath rahmaton or naimaton ko apni taraf mor nahi pa rahay…Yun lagta hay jaisay koi talluq tha jo toot gaya hay phir Admi ka dil chahta hay ab us k liye koi or hath uthaye,kisi or k lab us ki Dua Allah tak Pohanchayain,koi or Allah k samnay us k liye gir-giraye,koi aisa
shakhs jis ki Duayain qabool hoti hon,jis k labon se nikalnay wali il-tejayain us k apnay lafzon ki tarha wapis na mor di jati hon phir Insan Peer-e-Kamil ki talash shuru karta hay,bhagta phirta hay,Dunya main kisi aisay shakhs k liye jo Kamliyat ki kisi na kisi seerhi par khara ho……."
-
Re: Iqtibaas Competition of the Month July...!!
wah jee is bar tu yaha ronak hogaye hai
lagta hai Umera Ahemd sub ko pasand hian
Beautiful sharings all of u
-
Re: Iqtibaas Competition of the Month July...!!
hmm she is my fav aswell
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules