parveen shakir ki yaad main!
Doodh dibbay ka hay aur chaah hai baalai ki...
Aap say koi tawaq'qu nahin danaai ki................
Sochti hun ussay logon say kahon yaa na kahoon?
Baat to sach hay, magar baat hai hamsaai ki..........
Baat choti thi magar uss ko barhayaa tum nay...
Saas nandoon nay bhi kuch hashia aa'rai ki........
Tu nay har ik say mhehallay main meri baatain keen...
Main nay bhi sher main khaasi teri ruswai ki.............
Pat patata tha mujhay daikh kay aankhain apni..
Uss nay ullo ki tarah meri pizeerai ki.................
Kal teri bazm main kuch logon nay khaya jaisay...
Fatihaa dada ka, dukaan ho halwai ki....................
Cha'haa kitnon ko magar a'qd kia bas mujh say...
Bas yehi baat hai ach'chi meray harjai ki.............
Khud ko kehnay lagay woh "mahir e aa'raish e zulf"..
Sach jo kah'yay to rahi zaat wohi naa'i ki..................
Jaanay kia soch kay barbaad ghazal ki hai kamal?
Baskay jaati nahin aadat yeh khud'aarai ki...........