dayaar-e-Gair mein kaise tujhe sadaa dete
tu mil bhi jata to tujhe gaNvaa dete
tum hi ne hum ko sunaya na apnaa dukh varanaa
duaa vo karate ke hum aasmaan hilaa dete
hamen ye zam raha ab ke vo pukaarenge
unhein ye zid thi ke har baar hum sadaa dete
vo tera Gam tha ke taaseer mere lahje ki
ke jis ko haal sunaate use rulaa dete
tumhe bhulana hii avval to dastaaras mein nahin
jo iKhtiyaar bhii hota to kyaa bhulaa dete
tumhari yaad ne koi javaab hii na diya
mere Khayaal ke aaNsuu rahe sadaa dete
sama'ton ko main taa-umr kosataa Syed
vo kuch na kehte magar honTh to hilaa dete