is bar ap ko
"Judai" per poetry share karne hia.
Rules :
1-Ek member ek hi Poetry share kar sakta hai
2-Edit ki huwi post accept nahi ki jayegi
3-Poetry share karne ki last date 21 June hai.
Aap Sb Ki Achi sharing ka Intizar Rahe ga.
Judaayi Ki Azziyat Se Mera Dil Ab Bhi Darta Hai
Judaayi Do Ghari Ki Ho To Koyi Dil Ko Samjhaaye
Judaayi Chaar Pal Ki Ho To Koyi Dil Ko Behlaaye
Judaayi Umar Bhar Ki Ho To Kiya Chaara Kare Koyi
Ke Ek Milne Ki Hasrat Main Bhala Kab Tak Jiye Koyi
Mere Maula Karam Kar De
Tu Aisa Kar Bhi Sakta Hai
Mere Haathon Ki Jaanib Dekh
Inhein Tu Bhar Bhi Sakta Hai
Judai Ki Aziyat Ko Agar TUm Jan-na Chahu
Tu Kuch Pal Ko
Zara Yeh Saans Apni Rok Kar Daikho
Tumhain Mehsoos Huga
Judai Mout Jaisi Hai
Suno! JUDAI moat hoti hai,
kabhi fursat milay tau dekhna patton ka girna tum,
k jab ye shajr sey gir ker zmeen per aan partay hain,
tau kaisay ronday jatay hain
Thitharti raat k khamosh lamhon mein,
kisi by'bas akeli ba'wafa larki ki,
kabhi tum siskiyan sun'na
Kahin qitar sey bicharti hoi konjon k nohey per nigah karna,
k kaisay aik doujay ki judai per, tarap ker bain karti hain,
Kabhi rukhsat k lamhon mein kisi ki aankh sey
lurhaktay huay aansu ko dekho gey,
tau shayed jan jao gey,
JUDAI maut hoti hai
Abhi tum ne MOHABBAT k barastey beeghtey mausam nhe dekhey,
abhi tum titliyon k rang mut'hhi main chupatey ho,
abhi tum muskratey ho,
SUNO! kabhi jo zindagi ne ajnabi veraan rahon per
tumhari ye hansi cheeni,
tau phir aansu bahao gey,
tum itna jan jao gey,
"JUDAI MOUT HOTI HAI"
yeh images show kyun nahiin ho rahe allowed nahiin hai?
Alhamdullilah
link he ap ne sahi nahi lagaye the jabi images show nai hue maine kardiye hain sahi.