Mishaal
Hamd-o-SanaSana teri hamd teri ho zikar tera
2ono jahaan sanwar jain gar yeh ho fikar mera
Sab hein hamd mein teri ratbul lissaan
darind 0 parind wa charind 0 hewaan
tu hey khaliq wa maalik 2 jahaan
kiun nah ho naam aahla wa bartar tera
sab se poshieda hey tu
sab ko hey teri justajoo
har shey mein hey teri namoo
zikar tera qariya qariya koo ba koo
jamadat nabatat baghaat wa jamalat
dikhate hein deeda e beena ko manzar tera
karam se tere shamil hey sanaa khawano mein
asion ka asi yeh banda hey jo Nomi tera
tanhae
seven tiles
Ya Ilaahi Har Jaga Teri Aata Ka Sath Ho
Jub Pare Mushkil Sha'e Mushkil Kusha Ka Sath Ho
Ya Ilaahi Bhool Jayen Naza'h Ki Takleef Ko
Shaadiye Deedare Mustafa Ka Sath Ho
Ya Ilaahi Gor Teera Ki Aayeh Sakht Raat
Unke Payare Moonh Ki Subha Ja Fiza Ka Sath Ho
Ya Ilaahi Jub Parae Mahshar Shore Daar-o-Geer
Aman Dene Waale Pyaare Peshwa Ka Sath Ho
Ya Ilaahi Jub Zubanain Bahar Ayen Payas Say
Saahib-e-Kauthar Sha'e Jood-o-Ataa Ka Sath Ho
Ya Ilaahi Sard-e-Mehri Par Ho Jub Khurshid-e-Hashr
Ya Ilaahi Garmi-e-Mahshar Say Jub Bharke Badan
Daaman-e-Mahboob Ki Thandi Hawa Ka Sath Ho
Sayyad-e-Besaaya Ke Zille-e-liwaa Ka Sath Ho
Ya Ilaahi Nama-e-A'mmal Jub Khulnay Lagay
Aib-e-Posshe Khalq Sat'taare Khata Ka Sath Ho
Ya Ilaahi Jub Bahe Aankhe Hissab-e-Jurm Me
Un Tabassum Rez-e-Honto Ki Dua Ka Sath Ho
Ya Ilaahi Jub Hisaabe Khanda-e-Bejaa Rulaaye
Chashme Giryaane Shafi-e-Murtaja Ka Sath Ho
Ya Ilaahi Rung Lai Jub Meri Be Haaqiyah
Un Ki Neechi Neechi Nazron Ki Hayaa Ka Sath Ho
Ya Ilaahi Jub Chalo Tareekh Raahe Pul Siraate
Aftaab-e-Haashmi Noorul Huda Ka Sath Ho
Ya Ilaahi Jub Saer Shamsheer Par Chalna Pare
Rabbe Sallim Kehne Waale Ghamzudah Ka Sath Ho
Ya Ilaahi Jo Dua'e Nek Hum Tujh Say Karain
Qudsiyo Ka Lub Se Aamen Rab'bana Ka Sath Ho
Ya Ilaahi Jub Raza Khaab-e-Gira Se Sar Uthaa'e
Daulat-e-Bedaar Ishq-e-Mustafa Ka Sath Ho
Ya Ilaahi Lay Chale Jub Dafan Karne Qabar Ma
Ghause-e-Azam Peshwa'e Awliya Ka Sath Ho