Barish ki khushboo
chandni raat k hathon pay sawar utri hai
koi khushboo meri delhiz k paar utri hai
is main kuch rang bhi hain khuwab bhi mehkar bhi hai
jhilmilati hui khawish bhi inkaar bhi hai
isi khushboo main kayi dard bhi afsanay bhi
isi khushboo nay banaye kayi dewanay bhi
meray anchal pay umeedon ki qitaar utri hai
koi khushboo meri delhiz k paar utri hai
isi khushboo say kisi yaad k der khultay hain
meray pairon say jo liptay to safar khultay hain
yahi khushboo jo mujhey ghar say utha layi thi
ab kisi tor palat ker nahi janay deti
meri delhiz bulati hai mujhey loot aao
yahi khushboo mujhey wapis nahi aanay deti
ranj or dard main doobi bahar utri hai
koi khushboo meri delhiz k paar utri hai
(by: Wasi Shah)