As Salam-o-Alaykum
Kalam Jamal Ahsani Ka
Meri Diary mein Qalam band tha
Woh laug mere bohat pyar kerne walay thay
Guzar gaye jo mausam guzarne walay thay
Nayi ruton mein dukhon k bhi silsilay hain naye
Woh zakhm taza hue jo bharne walay thay
Yeh kis muqam per sujhi tujhe bicharne ki
K ab to ja k kahin din sanwarne walay thay
Numam raat nahaya tha shahr "BARISH" mein
Woh rang utar he gaye jo utarne walay thay
Us aik chotay s eqasbay mein rail theri he nahi
Wahan bhi chand musafir utarne walay thay