lovejeddah94
judai dene walay tumse umeed-e-wafa kaisi
ta'aluq toot jaiy jab
mohabbat rooth jaiy jab
to phir rasm dua kaisi
milan ki iltijaa kaisi
bhanwar mein dolti kashti pe sahil ki tammana kiya
ukhartay saans hoon to zindgi ki aarzo bhi kiya
jo manzil kho chuki ho uss ki phir se justuju bhi kiyon
razai doost par acha...sar-e-tasleem-kham karna
sisaknay se yehi behtar hai na-umeed hi marna
maghar dil ne tumhein kis waastay se yaad rakha hai
tumhein kiyon shairi mein aaj tak aabad rakha hai
abhi tak meine kiyon khud ko bahut barbaad rakha hai
hawa ke doosh par kiyon naghma'faryad rakha hai
judai dene walay ashnai ki qasam tum ko
tumhari bewafai, kajj adai ki qasam tum ko
mujhe itna bata dena
wafa ki chaahton ki mash'alaiN kaisay bhujatay hain
nishaaN kaisay mitaatay hain
bhulana ho jinhein unko bhala kaisay bhulatay hain.
shaan
~Loving Irfan~
Suna hoga bohat tum ne... kahiN aankhoN ki rim jhim ka
kahin palkoN ki shabnam ka
parha hoga bohat tumne.... kahiN lehjay ki barish ka
kahiN sagar ke aansoo ka
magar tum ne kabhi humdam...kahin daikhay kahin parkhay
kisi tehreer ke aansoo
mujhe teri judaai ne... yehi mairaaj bakhshi hai
ke main jo lafz likhta hoN....woh saray lafz rotay hain
ke main jo harf bunta hoN...woh saray bain kartay hain
mere sang is judaai main...mere alfaz martay hain
sabhi tareef kartay hain...meri tehreer ki lekin..
kabhi koi nahin sunta...mere alfaz ki siski
falak bhi jo hila daalay..
mere lafzoN main hain shamil...usi taseer ke aansoo
kabhi daikho mere humdam
meri tehreer ke aansoo