DUA !
Jab Se Dil Lagaya Hai Tum Se
Sab Kuch Sehny Ki Adat Si Ho Gaie Hai,
Intazar Karty Hain Hum Aap Ka" Dair Tak
Aur Aap Ko Na Aany Ki Adat Si Ho Gaie Hai,
Baat Baat Pe Muskraty Thy Hum
Ab To Rony ki Adat Si Ho Gaie Hai,
Kabi Talab Karty Thy Tumhri Hum
Ab To Berukhi Sehny Ki Adat Si Ho Gaie Hai,
Kabhi Ek Humdard Rakhty Thy Hum Bhi
Par Ab To Tanha Gam Sehny Ki Adat Si Ho Gaie Hai,
Jab Se Sochna Shuru Kiya Hai Tum Ko
Saari Saari Raat Jagny Ki Adat Si Ho Gaie Hai,
Ab To Chahy Chhor Bhi Do Humain
Tum Bin Rehny Ki Adat Si Ho Gaie Hai,
Jisy Bhi Chaha Hum Ne Woh Chhor Kar Chala Geya
Ab To Khony Ki Adat Si Ho Gaie Hai,
Jab Se Tum Gay Ho Humain Chor K
Tab Se Chup Rehny Ki Adat Si Ho Gaie Hai,
Tum Se Na Koi Shikwa" Na Koi Shikayt Hai Humain
Bas Khud Se Shikayt Karny Ki Adat Si Ho Gaie Hai,
Maloom Hai Keh" Shayed Humari Kismat Mein Tum Nahi
Bas Kismat Se Larny Ki Adat Si Ho Gaie Hai,
Tum Jahan Bhi Raho Bas Kush Raho
Ye DUA Mangny Ki Adat Si Ho Gaie Hai !
پھر یوں ہوا کے درد مجھے راس آ گیا
Wah Bohut KhoOb.....
zaberdast
Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
Mein Le Kar Bhi,
Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
Behter Hai...!!