Khobsorat
KOI JALTA RAHA
Raat kat ti rahi chand dhalta raha
Aatish ye hijr mein koi jalta raha
Ghar ki tanhaiya mujh ko dhasti rahi
Koi bechan karwat badalta raha
Aason –e-umeed ke shama roshan rahi
Ghar ki dahleez ko koi khatkata raha
Raat bhar chandni gungunati rahi
Raat bhar koi tanha sisakta raha
Aashq palko par aakar bhikarte gaye
Naam lab par kisi ka larazta raha
Aaj phir raat basar hogayi
Aaj phir koi khud se ulajhta raha
Last edited by shaan; 04-07-2008 at 09:22 AM.
Khobsorat
Janay na kahan woh duniya hai ... Janay na woh hai bhi ya nahiJahan meri Zindagi mujhse ... Itni khafa nahii
Itni khafa nahiiii
Itni khafa nahiiiiiiii
khoob
پھر یوں ہوا کے درد مجھے راس آ گیا