-
asloob aadmi k baton mein khudaii
Thoda sa aab-e-zar* hai thodi hawaa hai mujh mein,
itni bisaat pe bhi kya khoob aana hai mujh mein,
ek hashr jo machaa hai din raat mere andar,
kuch aur bhi yaqeenaN mere siwa hai mujh mein,
usloob* aadmi k baatoN me par khudaai,
insaaniyat hai thodi,thoda khuda hai mujh mein,
moujoodgi se meri har simt munavvar ho,
yeah shama k jaisa kya jal uthaa hai mujh mein,
iss waqt ke sitam ne sehraa sa kar diya tha,
ek umr baad phir se dariya bahaa hai mujh mein,
yaari se dushmani tak,nafrat se aashiqui tak,
is zeest se qazaa* tak sab kuch likha hai mujh mein
phir se ''sadaf" hui hooN maiN dost aaine kii!!
naa-aashna sa koi dikhnay laga hai mujh mein
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules