"Main Tumhay roko'n ga nahi kio k izzat k naam ki payal Tum nay phen rkhi hai, is ki khnak main awal rooz say Mahsoos kerta aa raha hoon. Mujhay yeh bhi pata hai, yehi payal mujhay kabhi bhi Muhbbat may sukh ki neend nahi sonay day gi. humesha Meri Muhbbat ko nmaaz say jhnjoor k jgaati rehay gi. duniya rasam-o-rawaaj, izzato'n k raag sunaye gi. is k baawjood yehi payal mujhay kabhi buri nahi lgay gi. Mujhay is ki jhnkaar achi lagti hai kio k is may izzat hai, paakeezgi hai aur main khud bhi yhi chahta hoon, yehi payal humesha Tumhary paao may bajti rahy aur main sartaapa smaat ban k sunta raho'n. chahy is ki per-josh jhankaar may Meri Muhbbat ki daab jaye, chahy Mera Dil Hijar ki sooli cherh jaye, Mujhay koi perwa nahi..."