Results 1 to 7 of 7

Thread: Bint E Aadam's Poetry

  1. #1
    Join Date
    Jul 2008
    Location
    Sialkot Pakistan
    Age
    38
    Posts
    2,056
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474855

    snow Bint E Aadam's Diary


    and as salam-o-alaykum


    Sochtey rehnay ki aadat hogayi
    chaunktey rehnay ki aadat hogayi
    hijr ki raatoun k sung aankhoun ko bhi
    jaagtey rehnay ki aadat hogayi
    jaaney kia dur hayk apnay aap say
    bhaagtey rehnay ki aadat hogayi
    woh nahin lautey gaa phir kiyoon rehguzaar
    daikhtey rehnay ki aadat hogayi
    woh meray andar chupa hay or usay
    boltey rehnay ki aadat hogayi~!!

    Farhat Abbas Shah.
    Last edited by Bint E Aadam; 16-07-2008 at 09:40 PM.

  2. #2
    Join Date
    Jul 2008
    Location
    Sialkot Pakistan
    Age
    38
    Posts
    2,056
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474855

    Default Re: Bint E Aadam's Poetry

    Phir usi ka khayal aata hai
    Wo jo apna nahee paraya hai

    Jiska darma kabhi nahee milta
    Rog dil ne wahi lagaya hai

    Kirchiyan hain ke mera chehra hai
    Aina kon tod laaya hai

    Naam likha tha patharon pe tera
    Hum ne hton se jo mitaya hai

    Lakhh socha magar khabar na hui
    Chain dil ka kidhar ganwaya hai

    Laut aaye kisi ke dar se Batool
    Hum ney yun khud ko aazmaaya hai

    Fakhira Batool

  3. #3
    Join Date
    Jul 2008
    Location
    Sialkot Pakistan
    Age
    38
    Posts
    2,056
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474855

    Default Re: Bint E Aadam's Poetry

    ye baateN jhuuTii baateN haiN, ye logoN ne phailaa’ii haiN
    tum Insha jii kaa naam na lo, kyaa Insha jii sauda’ii hain?

    haiN laaKhoN rog zamane meN,kyuN ishq hai rusvaa bechaaraa
    haiN aur bhii vaj’heN vahshat kii, insaan ko rakhtii dukhiyaaraa

    haaN ! bekal-bekal rahtaa hai vo piit meN jisne dil haaraa
    par shaam se lekar sub’h talak yuuN kaun phire hai aavaaraa


    gar ishq kiyaa hai tab kyaa hai, kyuN shaad nahiN aabaad nahiiN
    jo jaan liye bin Tal na sake, ye aisii bhii uftaad nahiiN

    ye baat to tum bhii maanoge, vo Qais nahiiN Farhad nahiiN
    kyaa hijr ka daruu mushkil hai, kyaa vasl ke nusKhe yaad nahiiN


    jo humse kaho ham karte haiN, kyaa “Insha” ko samjhaanaa hai
    us laRkii se bhii kah leNge, go ab kuch aur zamaanaa hai

    yaa chhoReN yaa takmiil kareN, ye ishq hai yaa afsaana hai
    ye kaisaa gorak-dhandaa hai, ye kaisaa taanaa-baanaa hai


    ye baateN jhuuTii baateN haiN, ye logoN ne phailaa’ii haiN
    tum Insha jii kaa naam na lo, kyaa Insha jii sauda’ii haiN?

  4. #4
    Join Date
    Jul 2008
    Location
    Sialkot Pakistan
    Age
    38
    Posts
    2,056
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474855

    Default Re: Bint E Aadam's Poetry

    farz karo hum ehl-e-wafa hon
    farz karo deevanay hon

    farz karo ye donon batain
    jhooti hon afsanay hon
    farz karo ye g ki bipta
    g se jod sunayi hon
    farz karo abi aur ho baki
    adhi hum ne chupayi ho

    farz karo tumhain khush rakhnay k
    dhoondhaay hum ne bahanay hon
    farz karo ye nain tumharay
    such much k may-khanay hon

    farz karo ye rog ho jhoota
    jhooti peet hamari ho
    farz karo is peet k rog main
    saans b hum par bhaari ho

    farz karo ye jog bajog ka
    hum ne dhong rachaya ho
    farz karo bus ye he hakeekat
    baki sub kuch maya ho

    farz karo haan farz karo

    Ibn e Insha

  5. #5
    Join Date
    Jul 2008
    Location
    Sialkot Pakistan
    Age
    38
    Posts
    2,056
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474855

    Default Re: Bint E Aadam's Poetry

    Yeh kiss nay kaha tum kuuch karo batain na banaao insha jii
    Yeh shehar tumhara apnaa hai issay chorr na jaaoo insha jii

    Jitnay bhi yahan kay bassii hain sub kay sub tum say pyar karain
    Kya un say bhii munh phair gaye yeh zulm na dhaaoo insha jii

    Kya soch kay tum nay sainchee thee yeh kaisar kyaari chahat kii
    Tum jin ko hansaanay aaye they un ko na rulaaoo insha jii

    Tum laakh sayyahat kay ho dhanii ik baat hamari bhi maano
    Koi jaa kay jahan say aataa nahin uss dais na jaaoo insha jii

    Bikhraatay ho sona harfon ka tum chaandii jaisay kaghaz per
    Phir in main apnayzakhmoon ka mat zehar milaaoo insha jii

    Ek raat tou kya woh hashr talak, rakhay gii khula darwazay ko
    Kab lout kay ghar tum aaoo gay sajnii ko bataoo insha jii

    Nahi sirf Qateel ki baat yahan, kahin Sahir hai kahin Aalii hai
    Tum apnay puranay yarron say daman na churrao insha jii

  6. #6
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    manchester
    Age
    39
    Posts
    11,319
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    49 Thread(s)
    Rep Power
    21474864

    Default Re: Bint E Aadam's Poetry

    sharing

  7. #7
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Dasht e Tanhai
    Posts
    1,197
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Bint E Aadam's Poetry

    Bohat khobsorat sharings sab ki sab ...

    Thnx for sharing ...

    Keep sharing ...
    Janay na kahan woh duniya hai ... Janay na woh hai bhi ya nahi
    Jahan meri Zindagi mujhse ... Itni khafa nahii

    Itni khafa nahiiii

    Itni khafa nahiiiiiiii

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •