karoroN chehray aur un k peechay karoroN chehray
yeh raastay haiN k bhir k chattay
zameen jismoN say dhak gai hai
qadam to kia til bhi dharnay ko ab jagah nahiN hai
yeh daikhta hooN to sochta hooN
k ab jahaN hooN waheeN simat k khara rahooN maiN
magar karooN kia k ruk gaya to
jo bheer peechay say aa rahi hai
woh mujh ko pairoN talay kuchal day gi, pees day gi
to ab jo maiN chalta hooN to khud mere apne pairoN maiN aa raha hai
kisi ka seena, kisi ka bazu, kisi ka chehra
chalooN to auroN pe zulm dhaaooN
rukoN to auroN k zulm jhailooN
zameer tujh ko to naz hai apni musafi par
zara sunooN to
k aaj tera kia faisla hai?