gehra sannata hai
kuch makanoN say khamosh uthta hua gaarha kala dhuwaN
mail dil maiN liye har taraf door tak phailta jata hai
gehra sannata hai
lash ki tarah bay jan hai raasta
aik toota hua thaila ulta para apne pahiye hawa maiN uthaye huwe
aasmanoN ko hairat say takta hai
jaisay jo bhi hua, uska ab tak yaqeeN usko aaya nahiN
aik ujri dukaN, cheekh k b'ad munh khula to khula reh gaya
apne tootay kawaroN say woh
door tak phailay choori k tukroN ko hairat zada nazroN say daikhti hai
k kal tak to yehi sheeshay is poplay munh maiN so rang k dant thay
gehra sannata hai
gehary sannatay ne apne manzar say yooN bat ki
sun lay ujri dukaN
ay sulagtay makaN
tootay thailay, tumhi bas nahiN ho akailay
yahaN aur bhi haiN jo ghaarat huwe
hum unka bhi maatam karaiN gay magar
pehlay unko to ro laiN
k jo lootnay aye aur khud lut gaye
kia luta iski unko khabar hi nahiN
kam nazar haiN k sadiyoN ki tehzeeb par
in baicharoN ki koi nazar hi nahiN!