jab woh kam umr hi tha
usne yeh jan lia tha k agar jeena hai
bari chalaki say jeena hoga
aankh ki aakhri had tak hai basat-e-hasti
aur woh m'amooli sa aik mohra hai
aik ik khana bohat soch k chalna hoga
bazi aasan nahin thi uski
door tak charoN taraf phailay thay mohray
jallas, nayahat saffaak, sakht bay reham , bohat hi chalaak
apne qabzay maiN liye poori basaat
uske hisay maiN faqat mat hi mat
woh jidhar jata usay milta
har naya khana, nai ghaat liye
woh magar bachta raha, chalta raha
aik ghar , doosra ghar, teesra ghar
pas aya kabhi auroN k kabhi door hua
go k m'amooli sa mohra tha magar jeet gaya
yooN woh ik roz bara mohra bana
ab woh mehfooz hai ik khanay maiN
itna mehfooz k dushman to alag
dost bhi pas nahiN aa saktay
uske ik hath maiN hai jeet uski
doosray hath maiN tanhai hai!