*resham*
Thaam Lo Haath Mera
Waqat aur halaat k es dhoop chao k khail main mayoosion se lipat ker main jab bebas hoker roo rahi thi k main apni mohbbat ka saath do ya dunya walon ka ya papa ka tu tum ne aker mere ansoo apney haathon se ponch ker kaha apna haath mere haath main de do aur bas thaam lo haath mera ye meri himmat meri taqat hai es haath main es haath ko thaam ker mehsoos karo aur chup hojao tum kaya samjhti ho mujhey tumhara ehsaas nahi hai nahi ayesa nahi hai sana mujhy tumhra ehsaas hai mere dil main bhi tumhrey liye jazbaat hai main khood ko rook na saka chhaton k saillab ubher gai hai mohbbat ki lao jal uthi hai main bhi tum se bhut pyaar kerta ho mere ansoo usne apney haathon se ponch ker meri dubti howi kashti ko jaisey sahara de diya ho mera haath apney haath main thaam ker jaise usne tufaano se lerney ki taqat mujhye soonp di ho zindagi ki raah kaanton bhari ho ya pholon se saji ho khushi miley ya gham kaya farq parhta hai jab tumhara haath mere haath main hai tu mujhey andheron se bhi raoshni mil rahi hai fir usne kaha kaya tum mujh se shadi karongi main bhut greeb ho mere paas koi kaam bhi nahi hai mana k main greeb ho mager mohbbat se tumhara daman kabhi khali nahi rehney donga mana k ye daoulat hamrey beech diwaar banker khadi hai mager main hmaesha tumhara saath ho zalim dunya k log hamey hargiz milney nahi denge mager tum apna khud ko bikhrney na ya tutney na dena mera yaqeen karo pehli bar main es tarh laot k aya ho ab tu mujhy rook lo mera gala khushk honey laga aur main ney rotey howe uska haath thaam liya aur usne mujhey galey se laga ker eak pal main sarey ghamon ko khushi main tabdeel ker diya saari uljhano ko door ker diya saarey sawaalon k jawaab de diya aur meri bebasi ko haousla aur mohbbat ko uska haq deker kayi ahed wafa k wadon main mujhye bandh ker fir milny ka wada kerkey ho chala gaya.....
Uske haath se mere haath tak ka jo tha fasla eak umeed ban gaya apno se begano se dunya se samaj se waqat ki kathing azmayish se lerney ka housla de gaya tumhra haath thaam ker tu main ne zindagi ko samjha aur fir un haseen yadon k saath waqat kayi maousamon main badal gaya tu main ne achnak akhbaar main dekha k use chars k case main saath saal ki jai hogayi hai mujhy kuch samjh main nahi aya k majra kaya hai ? main us se milney k liye nikla hi rahi thi k papa ne mujhey rook liye k kis se milney ja rahi ho woh eak mujrim hai wo lerka tere qabil nahi hai pehley bhi kayi baar main ne mana kiya fir bhi tum log baaz na aaye uska khyaal ab dil se nikaal dey use bhool ja hamesha k liye .....
mera dil gawara nahi kera raha tha asfaq ayesa nahi ker sakta zaroor koi bat hai per main us waqat bebas thi papa ne saaf saaf kah diya tha k ya use ya mujhye dono main se eak ko choon lo main ajeeb kashmakash se guzer rahi thi k kis ka saath do mujhye yaqeen tha wo ayesa nahi ker sakta uski yaadon main udaas khuda se es masley ka hal aur ensaaf maagti rahi ALLAH Tallah ne meri soon li aur main ne papa ko phoon per baat kerty soon li k kis tarh mujh se door kerney k qasad se use zaberdasti chars k jhootey case ka elzaam laga ker 7 saal jail kerwayi hai....
mai hayerat asfaaq ki halat per roney lagi k meri waja se eak begunah ko saza mil rahi hai main sab kuch bhola ker cheekti lerzti ehsaas se lerti howi apney papa ki baaton ko raound ker apni mohbbat ko dil ki rooh se samjh ker main daouri uske paas chali gayi jaha woh jail ki salakhon k pichey sirf mera hi intezaar ker raha tha k kab main aao aur us se ye kah do k tum begunah ho woh ayesa kaam kabhi nahi ker sakta woh beqasoor hai.....
Main ne jatey hi uska haath thaam liya kaya howa ger ye salaakhein hamrey beech hai uski aankho main ansoo thy wo kuch kehna cha raha tha k main ne uske moo per haath rakh diya aur koshish kerkey uskey ansoo pochein aur us se kaha ab kuch na kaho main sab janti ho mere haath main apna haath de do thaam lo haath mera tumhe haousla mil jaiga kaya howa ye salakhein hai dermiyan main main tumhrey saath ho hmaesha se kaya howa ye zalim dunya hamrey pyaar k khilaaf hogayi hai hamey alg kerna chati hai main sach ka saath dongi kiuyn k such main janti ho aur ALLAH ne hamey hamesha such ki raah per chalney ki hidayt di hai tu main gawahi dongi papa k khilaaf main ne unki awaaz record kerli hai apney cell main k kis tarh unhoney ye sab kerwaya meri duwaaon main taseer thi asfaaq esi liye ALLAH ne hamri madad ki dekho tum preshaan na hona ab ye haath thaam ker mujhye saari umer dukh ho ya sukh tumhrey saath chlna hai dunya aur halaat bhaley kitni bhi diqqatein kiuyn na laye tumhrey haath jab mere haath main hai tu main saarey zamaney se lard longi mere papa hi kiuyn na ho main such ka saath dongi tumhey en salakhon se nikalongi aur fir ham miker her halaat ka samna kareygey mohbbat k beech ayi gayi ye banaouti daolat sache pyaar aur mazboot eradon ko kabhi kamzour nahi kareygi main ne mazboti se uska haath jab thama tu use bhi zindagi ka maqsad aur salkhon ki qaid main bhi apni rehayi ka faisla meri ankhon main dekhney laga hamrey liye eak dosrey ko samjhna aur mushkion main eak dosrey ka haath thamna hi hamari mohbbat ki jeet thi aur akhir kar daolat k tarzo main mohbbat rakhney waley bhi haar gai aur eak greeb k sachye pyaar ki jeet howi aur papa bhi maan gai aur ham dono hamesha k liye zindagi k safer main mohbbat se eak dosrey ka haath thamey agey badtey rahey na usne kabhi maushkion main mera haath chora na main ne uska her dukh takleef aur mushkilon ka saamna ham ney milker kerna hai main ho tumhri taqat aur himmat aur tum meri esi liye ye haath kabhi na chorna tumhari her mushkelin asaan ho jaigi bas Tum Thaam Lo Haath Mera .......