Teri surat nigahon me phirti rahe,
...ishq tera sataye to mai kya karun,
koi itna to aa kar bata de mujhe,
jab teri yaad aaye to mai kya karun.
Maine khak-e-nasheman ko bose diye,
aur keh kar ye dil ko samjha liya,
aashiyaan banana era... kaam tha,
koi bijli giraye to mai kya karun.
Maine mangi thi ye masjidon me duaa,
mai jise chahta hun wo mujh ko mile,
jo mera farz tha wo maine pura kiya,
ab KHUDA hi na chahe to mai kya karun.
Na lage jaam pe haath ye shart hai,
jaaye jo maikade ko wo kamzarf hai,
mujh ko tohmat na do,mai sharabi nahi,
wo nazar se pilaye to mai kya karun.
Ishq,Imaan donon me tafreeq hai,
aur donon pe mera Imaan hai,
jo KHUDA ruth jaye to sajde karun,
aur SANAM ruth jaye to mai kya karun?