meray sahir se keh dena
musafir aaj tak chup hai
k Uss k haath meiN tum ne
jo apna haath rakha tha
vo ab tak yaad karta hai

mery sahir se keh dena
k sadioN ki musafat ne
mery pairooN se baandhi hai
thakaN ab k baras itni

k apni doobti nabzooN se maiN khayef sa rehta hooN
na janay kab kahaN pe umer ki ye dor kat Jaa’ey


mery sahir se keh dena
k Uss k ishq k tilsam se ab tak vo nahi niklay
k jin ko uss ki aankhon ne faqat Ik baar dekha tha

mery sahir se keh dena
k saray shehar ko mery
yunhi patthar na rehnay dey
mery tilsam kadoN meiN laut kar aa’ey
k Vo Patthar Tarastay Hain
Tumhari Chashm Ki Jumbish Unhein Ik Bar Phir Kar De
Kisi Zee Rooh Ki Manind

Mery Sahir Se Keh Dena
Bichad Kar Tum Jo Miltay Thy
To Yun Mehsoos Hota Tha
k Jaisay Marg k Dhundley Kinaroon Tak Pahunchaty Hi
Adhoora Kaam Koi Zindagi Ko Yaad Aa Jaye
Kaho Phir Se Chala Aaye
k Uss k Laut Aany Se
Hamari Doobti Nabzoo Ko Phir Se Saans Aa Jaye
Agar Sehra Se Guzro To
Mery sahir Se Keh Dena

Agar Jungle Se Guzro To
Mery Jugnoo Se Keh Dena
Tumhari Be Sabab Doori
Mujhay Aksar Rulati Hay
Meri Shaamein Andheri Hain
Meri Raatein b Teera Hain
Mery Sab Taaq Khali Hain
Meri Aankhein Sawali Hain