Results 1 to 7 of 7

Thread: Gungunatay huay aanchal ki hawa de mujh ko

Threaded View

Previous Post Previous Post   Next Post Next Post
  1. #1
    Join Date
    Apr 2010
    Location
    A, A
    Age
    32
    Posts
    10,119
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    176 Thread(s)
    Rep Power
    21474861

    Default Gungunatay huay aanchal ki hawa de mujh ko



    Gungunatay huay aanchal ki hawa de mujh ko



    Ungliyaan pher ke ballon mey sula de mujh ko



    Jis terha faltu guldan pare rehtay hain

    Apnay gher ke kisi konay se laga de mujh ko



    Yaad ker ke mujhe takleef hee hoti hogi

    Aik qissa hoon purana sa bhula de mujh ko



    Dobtay dobtay aawaaz teri sun jaon

    Aakhri baar tu sahil se sada de mujh ko



    Mein tere hijar mey chup chaap na mer jaon kahin

    Mein hoon saktay mey kabhi aakay rula de mujh ko



    Dekh mein hogaya budnaam kitabon ki terha

    Meri tash’heer na ker ab tu jala de mujh ko



    Rothna tera meri jaan liye jaan liye jata hai

    Aisay naraaz na ho,huss ke dikhade mujh ko



    Aur kuch bhi nahi manga mere malik tujh se

    Us ki guliyon mey pari khaak bana de mujh ko



    Loog kehtay hain keh ye ishq nigal jata hai

    Mein bhi is ishq mey aaya hoon, dua de mujh ko



    Yehi auqaat hai merit ere jeevan mey keh mein

    Koi kamzoor sa lamha hoon, bhula de mujh ko
    Last edited by O.o Ashi o.O; 19-07-2010 at 01:46 PM.
    198343 196670793697111 5932486 n - Gungunatay huay aanchal ki hawa de mujh ko


    like karlo
    kOi bhEE aisa lamha nahi. . .
    jismEin mEre tU hOta nahi.

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •