2
baby_princess33
acha ab main apna jawab deti hoon. mere khayal main mohabbat pehlay hoti hai aur phir banda sochta hai k ye maine kis pagal se mohabbat kar li (lolzzz). mohabbat aik aisa ehsaas hai jo kisi bhi waqt aap ko ho sakta hai. mohabbat k liye aap ko koi time ya soch nahin chahiye. magar aik cheez jana'na zaroori hai, wo ye hai k aap ko apni izzat ka khayal hona chahiye. main ye nahin keh rahi k jo log mohabbat kartay hain, wo bay-izzat ho jaatay hain. mere kehnay ka matlab ye hai k aap ko pak mohabbat karni chahiye kyun k aap ko ye nahin pata hota k aap jis se pyar kartay hain, aya wo sacha pyar karnay wala hai k bas time pass kar raha hai aap k saath. issi liye aap ko itna mohabbat main pagal nahin ho jana chahiye k aap ko achay buray k khabar hi na rahe aur aap apne aashiq k hi ho kar reh jayein. nywayz, back to the topic, mere khayal se mohabbat pehlay aur soch baad main aati hai. Ye ho sakta hai k aap mohabbat ke shooroo marahil main hi soch lain k jis shakhs se aap mohabbat kartay hain, wo theek hai k nahin. aur theek honay se muraad ye hai k un ki reputation kaisi hai, kya wo flirty hain ya sachi mohabbat karnay wale hain etc. So, mohabbat pehlay aur soch baad main aati hai.
Doosra sawal ye tha k kya mohabbat soch samajh kar ho sakti hai? mera jawab hai k nahin, aur ye main experience kar chuki hoon ( nahin, nahin, main khud nahin, aisay log jin ko main jaanti hoon). maine aisay log bhi dekhay hain jo ye yaqeen rakhtay hain k mohabbat shaadi k baad honay chahiye ta'kay shaadi k baad aapki koi pehli mohabbat na saamnay aa jaye aur aap ka ghar bar-baad ho jaye. jaisa k maine pehlay kaha, mohabbat aik dam ho jaati hai. soch samajh kar honay wali mohabbat, darasal mohabbat nahin hoti. wo to aisay ho gayi jaise aap koi assignment ya koi mission soch samajh k start kar rahe hain. mohabat us se hoti hai jis ko dekh kar hi aap ko aisa lage k ye hi hai jo mujhe pasand hai. mohabbat is like love at first sight.
issi liye mera khayal ye hai k mohabbat soch samajh se qaasir hoti hai.