View Poll Results: Cast ur Vote

Voters
11. You may not vote on this poll
  • 1

    0 0%
  • 2

    0 0%
  • 3

    1 9.09%
  • 4

    0 0%
  • 5

    3 27.27%
  • 6

    0 0%
  • 7

    6 54.55%
  • 8

    0 0%
  • 9

    1 9.09%
  • 10

    0 0%
Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 10 of 18

Thread: ~Polling for SOS competition July~

  1. #1
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    candel ~Polling for SOS competition July~

    Asalam.o.Alaikum

    Barish Ka Topic rakha gaya or khoubsurat sharing parhne ko mile
    10 Members ne participate kiya

    ab polling ka waqt agaya hai.


    Rules:
    1.Apni Shamil Kiye Gaye sharing Ko vote Nahi Cast Karsakte..
    2.Sirf Aik he sharing ko vote diya jasakta hai.
    3.voting ki last date 28 July Hai.

  2. #2
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: ~Polling for SOS competition July~

    1

    naz

    Barish mein kia tanha bhegna larki!
    usay bula jis ki chahat mein
    ttera tun mun bhega hai
    pyar ki barish say barh kr kia barish ho gi
    aur jub is barish kay baad
    hijr ki pehli dhoop khilay gi
    tujh per rang kay ism khulein gay.

    By Parveen Shakir


    2


    ~*Saraabi*~

    baarish1tt4 - ~Polling for SOS competition July~

    FARHAT ABBAS SHAH


  3. #3
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: ~Polling for SOS competition July~

    3

    Hijab

    mohabbat aisa darya hai
    kay barish rooth bhi ja'aey
    tou paani kam nahi hota...!!!

    By: Amjad Islam Amjad


    4


    Manoos Ajnabi

    Ik roz koi to soche gaa
    Farzanon ki is basti main
    Ik shakhs tha pagal pagal sa
    Par baten theek hi kehta tha

    Barish ki tarah par shor na tha
    Darya ki tarah chup rehta tha
    Jin se use pyar bala ka tha
    Taane bhi unhi k sehta tha
    Ik roz koi to soche ga

    Dunya ne use kuch bhi na diya
    Par us ne jag ko pyar diya
    Jaan rote rote kho betha
    Dil hanste hanste haar diya

    Jo nazm likhi bharpoor likhi
    Jo sher diya shahkar diya
    Kyoon jite ji dargor hua
    Kis chah pe tan man har diya

    Tha dushman kon bechare ka
    Kis ranj ne us ko maar diya
    Ik rooz koi to soche ga....!!

    AITEBAR SAJID



  4. #4
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: ~Polling for SOS competition July~

    5



    HiDdEn WoRdS


    ik raat hoi barsaat bohat

    main royaa saari raat bohat

    har ghum tha zamaanay ka lekin

    main tanha tha us raat bohat

    phir aankh say ik saawan barsa

    jab sehar hoi to khayaal aaya

    woh baadal kitna tanha tha

    jo barsa saari raat bohat


    Mohsin Naqvi


    6


    baby_princess33

    saasar 034 - ~Polling for SOS competition July~
    saasar 035 - ~Polling for SOS competition July~
    saasar 036 - ~Polling for SOS competition July~

    AMJAD ISLAM AMJAD

  5. #5
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: ~Polling for SOS competition July~

    7

    Paras

    noshi23jb8 - ~Polling for SOS competition July~


  6. #6
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: ~Polling for SOS competition July~

    8

    the_0nly1


    Barish ki khushboo

    chandni raat k hathon pay sawar utri hai
    koi khushboo meri delhiz k paar utri hai

    is main kuch rang bhi hain khuwab bhi mehkar bhi hai
    jhilmilati hui khawish bhi inkaar bhi hai

    isi khushboo main kayi dard bhi afsanay bhi
    isi khushboo nay banaye kayi dewanay bhi

    meray anchal pay umeedon ki qitaar utri hai
    koi khushboo meri delhiz k paar utri hai

    isi khushboo say kisi yaad k der khultay hain
    meray pairon say jo liptay to safar khultay hain

    yahi khushboo jo mujhey ghar say utha layi thi
    ab kisi tor palat ker nahi janay deti

    meri delhiz bulati hai mujhey loot aao
    yahi khushboo mujhey wapis nahi aanay deti

    ranj or dard main doobi bahar utri hai
    koi khushboo meri delhiz k paar utri hai

    (by: Wasi Shah)

    9


    Bint E Aadam






    Woh laug mere bohat pyar kerne walay thay
    Guzar gaye jo mausam guzarne walay thay

    Nayi ruton mein dukhon k bhi silsilay hain naye
    Woh zakhm taza hue jo bharne walay thay

    Yeh kis muqam per sujhi tujhe bicharne ki
    K ab to ja k kahin din sanwarne walay thay

    Numam raat nahaya tha shahr "BARISH" mein
    Woh rang utar he gaye jo utarne walay thay

    Us aik chotay s eqasbay mein rail theri he nahi
    Wahan bhi chand musafir utarne walay thay


    Jamal Ahsani

  7. #7
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: ~Polling for SOS competition July~

    10

    zoya khan


    Mosam Tha Beqaraar


    Mosam tha beqarar tumhain sochety rahey..
    Kall raat baar baar tumhain sochtey rahey..
    Baarish howi tau ghar k dareechey se lagg ke hum
    Chup chaap sogawaar tumhain sochety rahey..

    By Farhat shah

  8. #8
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: ~Polling for SOS competition July~

    mbadarkhan
    Main Hon Na

    App ki sharing shamil nahi ki gaye coz is main poet ka naam nahi tha or rules main tha ke poet ka naam hona zarori hia..plz rules dekh liya kijeye

    Humna ap ki sharing bhi shamil nahi ki gaye kuke yaha apni poetry nahi kisi famous poet ki poetry share karne hoti hia

  9. #9
    Join Date
    May 2008
    Location
    Karachi
    Age
    41
    Posts
    8,519
    Mentioned
    6 Post(s)
    Tagged
    274 Thread(s)
    Rep Power
    21474861

    Default Re: ~Polling for SOS competition July~

    voted

    2dnmmf - ~Polling for SOS competition July~

  10. #10
    Join Date
    Apr 2008
    Location
    Karachi
    Posts
    3,397
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474856

    Default Re: ~Polling for SOS competition July~

    Voted


Page 1 of 2 12 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •