AoA
pehly k waqt mein jab beti ghar se rukhsat ki jati thi buzrag naseehat kartey thay kay …
beta ja … iss ghar se teri doli uth rahi hai … aur ab shohar k ghar se tera janaza hi nikle …
par aaj kal kiya kaha jaata hai … beta susral me agar nand ya saas tang keray to bas tum ghar ajana … main khud dekh loongi unhai …
kiya aisay ghar bastey hain ???
pehlay zamanay ki dulhanon se sharam se noor aata tha aaj ki dulhanain na ghoonghat nikala na koi sharam -e- hayaa.... jo main gate se samnay bethi hoi dulhan nazar ajati hai …
aap ko kon si dulhanain pasand hoti hain aaj ki dulhan jo shaadi hall mein bari confidence kay saath gupain maar rahi hoti hai yaa vo puranay zamany ki dulhanain jo sharam se khud ko ek room mein band kiye hoti thien???