haan je krdo
mjhe tu kuch b nahi mil raha
shayed aaj kay baad yeh ankhain tumhain na dekh paa'ain! kuch aisa karo kay meri tanhayion main tumhara tassawur haqeeqat main dhul kar munjamid ho jaye
apni chahton ki chaya saraab bana kar meray saath kar do...
tum apni maleeh aur dilkush hunsi aur batain baazgusht main daal kar mujhay musta'ar day do....
apnay nainon ki jot meri teira shubi ko chumkanay kay liye inayat kar do....
apni ungliyon ki poron ki maseehaye meray khuabon ka muqaddar kar do. meri julti aankhon main apnay lub-o-rukhsaar ki shubho'n ki thunduk bhar do...
apni mohabbat ki chandni ki sirf aik kiran meray humrah kar do nahin to mera safar bohat roohkush ho jaye ga.. kuch aisa karo kay yeh aasan ho jaye
aaj sub kuch kah do.....
koi unkahi mat rahnay do....
woh sub jo tum nay kabhi nahi kaha
aaj kay baad hont kuch nahi kahain gay
or kaan kuch nahi sunain gay....
tum say kia kahain
tum ko maloom kia
hum nay kaati hai kaisey shub-e-zindagi
hum nay kaiseyay uthaya hai bar-e-wafa
Novel "bar-e-wafa" writer "Nighat Seema"
Alhamdullilah
sab ke iqtibas bohat achay hein, mujhe bhi yeh he milay, aur koi acha sa mil nahi raha, ab next comp. mein he post karoon gi:0