.. Zindagi Bhar Saath Mera Nibha Sako To Mujhe Bata Do..
Mere Har Gham Ko Apne Gale Se Laga Sako To Mujhe Bata Do...
Chalte-Chalte,Girte-Sambhalte Ab Thak Sa Gaya Hoon Main,
Ek Nayi raah Mujhko Tum Dikha Sako To Mujhe Bata Do....
Aandhiyon Ne Tufaan Ne Mujhse Meri Muskaan Tak Cheen Li,
Inn Sab ke Beech mein Rehkar Bhi Ghar Mera Tum Basa Sako To Mujhe Bata Do...
Main Jo Bhi Hoon, Jaisa Bhi Hoon, Bas Tera Hoon!!!!!
Apne Jaisa Mujhko Bana Sako To Mujhe Bata Do.....
Yeh Baat Sach hai ke Mujhe Aaj Mere Apno Se Bhi Darr Sa Lagta Hai!!!
Kuch Rishto Mein Phir se Woh Vishwaas Ko jaga sako to Mujhe Bata Do.....
Mere Halaat, meri Majbooriyon par main To Rota Hi Hoon!!!!
Saath Mere Do Boond Ashq Tum bhi Baha Sako To Mujhe Bata Do.....
Kisi Musafir Ke Liye Manzil Khud Chal kar Kahan Aati Hai!!!
Meri Himmat,Meri Taakat Bankar Mujhko Meri Manzil Tak Pahuncha Sako To Mujhe Bata Do..
Kisi Baat Par Yuh Dil Mein Naraazgi Paalne Se Kuch Bhi Nahi Haasil!!!
Kabhi khud Se Bhi mujhko Mana Sako To Mujhe Bata Do.....
Baithe-Baithe Aaj Likh
Baitha Hai "Khwahish" Woh ghazal!!!
Jo Dil Ke Bahut Kareeb Se Hai Guzri...
Guzarte Waqt Ke Saath Apni Awaaz Mein,
Tum Bhi Iss Ghazal Ko
Guunguna Sako To Mujhe Bata Do....