sunO !...

Tum merey baray mein maat socho
Mujh per kia guzri hai

...Mujh per kia guzray gi
Mujay dard hota hai,Meri ankhain rooti hain

Ya meri kaam hoti hain
Tum merey baray mein maat socho

Mein kon tha?
Mein kon hon?

Mein ek sitara hon
Apnay wajood say ju toot giya,Bikhar giya

Ek paal ko bhout chamka aur
Ek paal mein hi bhuj giya

Tum merey baray mein maat socho
Mein ek musafir hon

Apnay qaflay say bichra huwa
Musafatoon ka thaka,Manziloon ko tarsa huwa

Tum merey baray mein maat socho

Mein wiraniyoon mein ek tanha shajer bi hon
Apni manziloon ko jatay musafir

Jiss k saye mein sustatay hain
Kuch dair k liyah rukh jatay hain

Tum merey baray mein maat socho
Mujay dhoop kitna jalati hai

Andhiyan mujay toor jati hain
Ya wiraniyan mujay darati hain

Meri kon sunta hai ?
Meri kon sunay ga ?

Tum bi ek musafir ho
Manzil jiss k pass hai

Mein janta tha,Mein janta hon
Tumhain bi ek din jana tha

Mager phir kyo ?
Meri tanhaiyan bain karti hain

Mery patay toot bikhartay hain
Terey qadmoon say ja kar lipattay hain

Tumhain rooktay hain,Tumhain bhulatay hain
Thori dair aur ruk jaoo

Na jaoo.......Na jaoo
Phir bi kahta hon

Tum meri fiker chooro
Tum apnay qadam na rooko

Tum merey baray mein maat socho