Woh kitnay itminan say tukhra gaya mujhay
Anso bana kar ankh say tapka gaya mujhay
Kasi rehbari thi yah kesa faraib tha
Manzil dikha kar rah say bathka gaya mujhay
Khamosh nighaon say kahani suna kar
Lafzon kay hair phair main uljha gaya mujhay
Mujh ko bachpan ka ek mazaq samjh kar
Choti si ek hansi main ura gaya mujhay
Do hi din main us kay dil say muhabbat utar gai
Or do hi pal main woh mita gaya mujhay