Results 1 to 3 of 3

Thread: seerat-e-tayaba (S.A.W)

  1. #1
    Join Date
    Jul 2010
    Location
    karachi
    Posts
    2,366
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    9 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    snow seerat-e-tayaba (S.A.W)

    Seerat-e-Tayaba (S.A.W)

    Rasool Sallallaho Alaiwasallam Ki Mohabbat Imaan Ka Laazmi Juz Hai Har
    Musalman Ke Dil Main Aap SAWW Ki
    Mohabbat Apni Jaan Ahle Ayaal Maal-o-Dulat Gharz Yeh Ke Dunia Ki Har Cheez Se ZYada Honi Chahiye,
    Jiske Dil Main Aap SAWW Ki Mohabbat Nahin WOh Momin Nahin.. Sahee Muslim Anas Bin Malik R.A. Se Marwi Hai Ke Rasool SAWW Ne farmaya Koee Us Waqt Tak Momin Nahin Ho Sakta Jab Tak Main Iske Nazdeek Uske Walid Ahle Ayaal AUr Sab Logon Se ZYada Mehboob Na Ho Jaun Aap SAWW Se Mohabbat Ki Sabse Barhi Alamat Yeh Hai Ke Aap SAWW Ke Ahkamaat Ki Ta'ameel Aur Manah Karda Cheezon Se Door Raha Jaye , Kyonki Sacha Aur Haqiqi Mohib Wahi Hota Hai Jo APne Mehboob Ki Baat Manta Hai Aur Har Woh Kaam Jo Iska Mehboob Na Pasand Kare Usse door Rehta Hai , Mohabbat Ka Yahi Asli Mayaar Aur Sahee Mafhoom Hai Jaisa Ke Allah SWT Irshad Farmata Hai " Aap (SAWW) Farma Dijiye Agar Tum Log Haqiqat Main Allah Se Mohabbat Karte Ho To Meri Itteba Karlo Allah SWT Tumhe Apna Mehboob Bana Lega (Surah Aale Imran-31) "

    Har Musalman Ko Chahiye Ke Woh Rasool SAWW Ki Seerat Ka ILM Rakhta Ho ...... Kamse Kam Kuch Khas Batein To Har Musalman Ko Malum Hona Hi Chahiye ... Aap Sabke Sath Seerat-E-Tayyaba Ki Kuch Batein Share Kar Rahi Hoon Allah SWT Ghaltiyon Ko Mauf Farmaye... Aameen

    Rasool SAWW Ka Nasb Nama Kuch Is Tarhan Hai :-

    Mohammed Bin Abdullah Bin Abdul Muttalib Bin Hashim Bin Abdul Munaaf
    Bin.... Is Tarhan Yeh Silsila Adnaan Tak Jaata Hai uske Baad Hazrat Ismail Alassalam Se Mil Jaata Hai .....

    Aap SAWW Ki Youm-E-Paidaish:-


    Rasool SAWW Ki Waleda Mohtarma Ka Naam Bibi Aamna Aur Walid Mohatram Ka Naam Hazrat Abdullah Tha

    Rasool SAWW Ne Jin Mohatram Aurton Se Nikah Kiya Woh Log Momino Ki Maa Kehlayee ...

    Ummahtul Momeneen:-

    (1) Hazrat Khadeeja R.A. Inki Zindagi Main Aap SAWW Ne Doosri Shadi Nahin Ki ..... Ibraheem Ke Siwa Rasool SAWW Ki Kul Aulaad Inhe Se Hai
    (2) Ummul Momeneen Soda Bint Zama R.A.
    (3) Ummul Momeneen Aysha Bint Abu Bakar Siddeeqe R.A.
    (4) Ummul Momeneen Hafsa Bint Umar Faruq R.A.
    (5) Ummul Momeneen Zenab Bint Khuzema R.A.
    (6) Ummul Momeneen Umme Salma R.A.
    (7) Ummul Momeneen Zenab Bint Habash R.A.
    (8) Ummul Momeneen Juweria R.A.
    (9) Ummul Momeneen Habeeba R.A.
    (10) Ummul Momeneen Memuna R.A.
    (11) Ummul Momeneen Safia R.A.

    Aulad-E-Rasool SAWW :-

    (1) Hazrat Qasim (2) Hazrat Zenab R.A. (3) Hazrat Ruqa'iya R.A. (4) Hazrat umme Qulsum R.A. (5) Hazrat Fatema Zahra R.A. (6) Hazrat Abdullah (7) Hazrat Ibraheem

    Rasool SAWW Ke 9 Chacha (Uncle) The Jisme Se Hazrat Abbas R.A. Aur Hazrat Hamza R.A. Islam Laye...

    Rasool SAWW Ki 6 Phupi Thi Jisme Se Sirf Hazrat Safia R.A. Musalman Huee .....

    Jab 40 Saal Ki Umar Huee To Aap SAWW ko Nabuwat Se Sarfaraz Kiya Gaya ........

    Aap SAWW Ko Nabuwat Ke 10 Ya 11 Ya 12th Saal Meraaj Huee Iski Sahee Tareekh Main Ikhtelaaf Hai...

    13 Saal Tak Makkah Main Touheed Ki Dawat Di Uske Baad Allah SWT Ke Hukum Se Madeena Munawwara Ke Liye Hijrat Ki Us Waqt Aap SAWW Ki Umar 53 Saal Thi ........

    Madeena Munawwara Main Rasool SAWW Aur Sahaba Kiram Ki Zyada Tar Zindagi Ghazwaat Main Guzar Huee....

    8 Hijri Main Makkah Fatah kiya Gaya .......

    Rasool SAWW Ki Zindagi Ke Aakhri 5 Din :-

    Wafat Se 5 Din Pehle:-
    Bukhar Main Shiddat Agayee Thi Jiski Wajah Se Takleef Bhi barh Gayee Aur Ghashi Taari Ho Gayee Aap SAWW Ne Farmaya Mujh PEr Mukhtalif Kuwon Ke 7 Mashkeeze Baho Take Main Logon Ke Paas Jaake Wasiyat Kar Sakun......
    Iske Baad Kuch Aaram Hua To Aap SAWW Masjid Main Tashreef Le Gaye Beth Kar Aap SAWW Ne Khutba Diya Aap SAWW Ne Allah SWT Ki Hamd Sana Bayan Ki Phir Farmaya Logon Mere Paas Aajao Log Aap SAWW Ke Qareeb Aagaye Phir Aapne Jo Farmaya Usme Yeh Farmaya... " Yahood Nasara Per Allah Ki Laanat Ke Unhone Ambiya Ki Qabron Ko Masajid Bana Liya (Sahee Bukhari) Aap SAWW Ne Ye Bhi Farmaya Tum Log Meri Qabr Ko Butt Na Banana Ke Uski Pooja Ki Jaye ( Mo'atta Imam Malik)

    Wafat Se 4 Din Pehle:-
    Marz Kaafi barh Gaya Aur Masjid Main Jaane Ki Taqat Na Rahee Hazrat Aisha R.A. Ka Bayaan Hai Ke Nabi SAWW Ne Daryaaft Farmaya Ke Kya Logon Ne Namaz Parhli? Hamne Kaha Nahin Ya Rasool SAWW Aur Woh Aapka Intezar Kar Rahe Hain Aap SAWW Ne Farmaya Mere Liye Lagan main Paani Rakho Hamne Aisa Hi Kiya Aap SAWW Ne Ghusl Farmaya Aur Uske Baad Uthna Chah Lekin Aap Per Ghashi Taari Ho Gayee, Phir Afaqa Hua To Aap SAWW Ne Daryaft Kiya Kya Logon Ne Namaz Parhli? Hamne Kaha Nahin Ya Rasool Allah SAWW Aur Woh Aapka Intezaar Kar Rahe Hain , Iske Baad Phir Dubara Aur Tibara WOhi Baat Paish Aayee Jo Pehli Baar Paish Aachuki Thi , Bil-Aakhir Aap SAWW Hazrat Abu Bakar Siddeeq R.A. Ko Kehalwa Bheja Ke WOh Logon Ko Namaz Parhaein, Abu Bakar R.A. Ne In Ayyam Main Namaz Parhayee (Bukhari Wa Muslim)

    Hazrat Abu Bakar R.A. Ne Nabi SAWW Ki Hayat Mubarka Main 17 Namazon Ki Imamat Ki .........

    Wafat Se 3 Din Pehle:-
    Hazrat Jabir R.A. Ka Bayan Hai Ke Main Ne Rasool SAWW Ko Wafat Se 3 Din Pehle Suna Aap SAWW Ne Farma Rahe The "Yaad Rakho Tum Main Se Kisi Ko Mout Nahin Aani Chahiye Magar Is Halat Main Ke WOh Allah Ke Sath Acha Gumaan Rakhta Ho (Masnad Abu Daud)

    Wafat Se Ek Ya Do Din Pehle:-
    Sanichar Ya Itwar Ko Nabi SAWW Ne Apni Tabiyat Main Behatri Mehsoos Ki To Aap SAWW 2 Admiyon Ke Darmiyan Chal Kar Zohar Ke Liye Masjid Main Tashreef Laye, Us Waqt Abu Bakar R.A. Sahaba Kiram Ko Namaz Parha Rahe The Woh Aap SAWW Ko Dekh Kar Peeche Hatne Lage Aap SAWW Ne Ishara Farmaya Ke Peeche Na Hatein Aur Laane Walon Se Farmaya Ke Mujhe Inke Bazoo Main Betha Do Chunache Aap SAWW Ko Abu Bakar R.A. Ke Right Side Main Betha Diya Gaya , Uske Baad Abu Bakar R.A. Rasool SAWW Ki Namaz Ki Iqteda Kar Rahe The Aur Sahaba Kiram Ko Takbeer Suna Rahe The ( Sahee Bukhari-1/98,99)

    Wafat se Ek Din Pehle:-
    Wafat Se Ek Din Pehle Baroz Itwar Nabi SAWW Ne Apne Tamam Ghulamo Ko Azaad Farma Diya Paas Main 6 Ya 7 Deenar The Inhe Sadqa Kar Diya Apne Hathyaar Musalmano Ko Hiba Farma Diye .

    Hayaat Mubarka Ka Aakhri Din:-
    Hazrat Anas R.A. Ka Bayan hai ke 2 Shambe(Monday) Musalman Namaz Fajr Main Masroof The Aur Abu Bakar R.A. Imamat Farma Rahe The Ke Achanak Rasool SAWW Ne Hazrat Aisha R.A. Ke Hujre Ka Parda Hataya Aur Sahaba Kiram Per Jo Safein Bandhe Namaz main masroof The Nazar Daali Phir Tabassum Farmaya Idhar Abu Bakar R.A. Apni Airhi Ke Bal Peeche Hate Ke Saf Main Ja Milein Unhone Samjha Ke Rasool SAWW Namaz Ke Liye Tashreef Lana Chahte Hain Hazart Anas R.A. Ka Bayan Hai Ke Rasool SAWW Ke Is Achanak Zahoor Se Musalman Is Qadar Khush Hue Ke Chahte The Ke Namaz Ke Andar Hi Fite Main Parh jaein( Yaani Aapki Mijaz Pursi ke Liye Namaz Torh Dein) Lekin Rasool SAWW Ne Apne Hath Se Ishara Farmaya Ke Apni Namaz Poori Karlo Phir Parda Gira Liya Iske Baad Rasool SAWW Per Kisi Doosri Namaz Ka Waqt Nahin Aaya.

    Din Main Chasht Ke Waqt Aap SAWW Ne Apni Sahabzadi Hazrat Fatema R.A. Ko Bulaya AUr Unse Kuch Sargoshi Ki Aur Woh Rone Lagi Aap SAWW Ne Unhe Phir Bulaya To Woh Hanse Lagi Hazrat Aisha R.A. Ka Bayan Hai Ke Baad Main Hamare Daryaft Karne Per Unhone Bataya Ke Pehli Baar Nabi SAWW Ne Mujh Se Sargoshi karte Hue Bataya Ke Aap SAWW Usi Marz Main Wafat Pa Jainge Isliye Main Royee, Aap SAWW Ne Doosri Baar sargoshi karte Hue Mujhe Bataya Ke Aapke Ahle Ayaal Main Sabse Pehle Main Aap SAWW Ke Peeche Jaungi Is Per Main Hansi.(Bukhari-2/638)

    Aap SAWW Ne Hasan Aur Husain R.A. Ko Bula Kar Chooma Aur Inke Barein main Kher Ki Wasiyat Farmayee .
    Azwaje-Muttahraat (Biwiyon) Ko Bulaya Aur Unhe Waaz O Nasihat Ki.

    Chehre Per Aap SAWW Ne Ek Chadar Daal Rakhi Thi, Jab Saans Phoolne Lagti To Ise Chehre Se hata Dete Isi Halat Main Aap SAWW Ne Farmaya Ke Yahood AUr Nasara Per Allah ki Laanat Unhone Apne Ambiya Ki Qabro Ko Masajid Banaya, Unke Is Kaam Se Aap SAWW Dara Rahe The( Bukhari-435)

    Iske Baad Hazrat Aisha R.A. Ne Rasool SAWW Ko Apne Ooper Sahara Dekar Taik Liya Unka Bayan Hai ke Allah SWT Ki Ek Naimat Mujh Per Yeh Hai Ke Rasool SAWW Ne Mere Ghar Main Meri Baari ke Din Wafat Payee, Aur Aap SAWW Ki mout Ke Waqt Allah Ne Mera Lu'aab Aur Aap SAWW Ka Lu'Aab Ikhattha Kar Diya , Hua Youn Ke Abdul Rehman Bin Abu Bakar R.A. Aap SAWW Ke Paas Tashreef laye Unke Hath main Miswak thi Aur Main Rasool SAWW Ko Teke Hue Thi Mene Dekha Ke Aap Miswak Ki Taraf Dekh Rahe Hain Main Samajh Gayee Ke Aap SAWW Miswak Karna Chahte Hain Mene Kaha Aapke Liye Le Loon Aap SAWW Ne Sar Se Haan Ka Ishara Farmaya Mene Miswak Lekar Aap SAWW Ko Di To Aapko Sakht Mehsoos Huee Mene Kaha Ise Aapke Liye Naram kardun Aap SAWW ne Sar Ke Ishare Se Kaha Haan, Mene Apne Danto Se Miswak Naram Kardi Aur Aap SAWW Ne Nihayat Achi Tarhan Miswak Ki ...
    Miswak Se Farigh Hote Hi Aap SAWW Ne Hath ya ungli Uthayee Nigah Chhat Ki Taraf Buland Ki Aur Donon Honto per Kuch Harkat Huee Hazrat Aisha R.A. Ne Kaan Lagaya To Aap SAWW Farma Rahe The.....
    In Ambiya Siddeqeen Shuhda Aur Saleheen Ke Hamrah Jinhe Toone Inaam Se Nawaza Aiy Allah SWT Mujhe Bakhsh De Mujh Per Reham Kar Aur Mujhe Rafeeq Aa'ala Main Pohcha Dey Aiy Allah Rafeeq Aa'aala Aakhri Jumla 3 Baar Duhraya..... Isi Waqt Hath Jhuk Gaya Aur Aap SAWW Rafeeqe Aa'aala Se Ja Mile........... ( Bukhari- 2/638 to 641 Baab Marz Ul Nabi SAWW)

    Yeh Waqiya 12 Rabiul Awwal 11 Hijri 2 Shambe ( Monday) Ke din Paish Aaya ..... Is Waqt Rasool SAWW Ki Umar 63 Saal 4 Din Ho Chuki Thi

    Sahaba Kiram R.A. Per Gham Ka Paharh Toot Parha Hazrat Umar R.A. To Kehte The Ke Jo Yeh Kahe Ke Rasool SAWW Wafat Pa Gaye Uska Sar Alag Kar Denge Aise Halaat Main Hazrat Abu Bakar Sideeqe R.A. Ne Sabr Aur Himmat Se Kaam Liya
    Abu Bakar R.A. Ne Ek Tareekhi Khutba Irshad farmaya Aapne Farmaya" Tum Main Se Jo Shakhs Mohammed SAWW Ki Pooja Karta Tha( wo Jaan Le ) Ke Mohammed SAWW Ki Mout Waqeh Ho Chuki Hai Aur Tum Main Se Jo Shakhs Allah Ki Ibadat Karta Tha To Yaqinan Allah Hamesha Zinda Rehne Wala Hai Kabhi Nahin marega Aur Phir Quran Ki Yeh Aayat Parh Kar Sunayee" Mohammad SAWW Nahin Hain Magar Rasool Hi , Inse Pehle Bhi Bahot Se Rasool Ghuzar Chuke Hain To Agar Woh Mar Jaein Ya Inki Mout Waqeh Ho Jaye Ya Woh Qatl kar Diye Jaein To Tum Log Apni Airhi Ke Bal Palat Jaoge? Aur Jo shakhs Apni Airhi Ke Bal Palat Jaye To Yaad Rakhe Ke Woh Allah Ko Kuch Nuqsan Nahin Pohcha Sakta Aur An-Qareeb Allah Shukr Karne Walon Ko Jaza Dega ( Bukhari- 2/640,641)

    Iske Baad Baari baari 10-10 Sahaba Kiram Ne Hujre Shareef Main Namaze Janaza Parhi Koee Imam Na Tha Sabse Pehle Aap SAWW Ke Khanwada( Banu Hashim) Ne Namaze Janaza Parhi Uske Baad Muhajreen Ne Phir Ansar Ne Phir Mardon Ke Baad Aurton Ne Aur Unke Baad Bachon Ne

    Aap SAWW Ki Qabr Mubarak Hujra-e-Aisha R.A. Main Banayee Gayee....

    Allah SWT Ghaltiyon Ko Mauf Farmaye Aur Hum Sabko Rasool SAWW Se Sachi Mohabbat Karne Wala Bana De...... Aameen

    Wa'Assalam Warehmatu'llahi Wabarakatu

    Last edited by Afshii; 06-08-2010 at 11:31 AM.

  2. #2
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: seerat-e-tayaba (S.A.W)



    Jazak ALLAH Khair

  3. #3
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    ♥ ♥ ChaAnd K paAr♥ ♥
    Posts
    41,775
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    1314 Thread(s)
    Rep Power
    21474894

    Default Re: seerat-e-tayaba (S.A.W)


Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •