Yoon Dil Se Kisi Dard Ka Paimaan Nahi Kartay
Ab Jaan Pe Bani bhi Hai Tu Darmaan Nahi Kartay

Her Yaad Ko Yoon Zakham Banatay Nahi Dil KA
Her Teer Ko Paiwast-e-Rag-e-Jaan Nahi KArtay

Ye Masla Abb Ahal-e-Mohabbat Ka Hai Apna
Martay Hain Tu Kuch Ap Pe Ahsaan Nahi Kartay

Khat Laein Na Laein Tera Hum Namaberon Ko
Bas Dekhtay Hain Perishaan Nahi Kartay

Aisa Bhi Tu Rakhtay Nahi Khanjar Pe Galoon Ko
Itna Bhi Tu Qatil Ko Pashamaan Nahi KArtay

Kub Shamein Jalata Hai Shab-e-Mah Main Koi
Tu Aye Tu Hum Ghar Main Chiragaan NAhi Kartay

Logoon Ko Gumaan Taak Nahi Hota Hai Junnon Ka
Hum Dil Ki Tarha Chaak Giraibaan Nahi Kartay

Hum Taij K Chalay Atay Hain Yaroo Dar-e-Janna
Ghalib Ki Tarha Minnat-e-Darbaan Nahi kartay