hmm......... achi sharing hai janab.... kis poet ki hai yeh ghazal????? boht munfarid anzad lag raha hai......
leken maqta main doosra lafz kya hai ???/ hum TAIJ???? kya mtlb?? taij samjhi nahi?
Yoon Dil Se Kisi Dard Ka Paimaan Nahi Kartay
Ab Jaan Pe Bani bhi Hai Tu Darmaan Nahi Kartay
Her Yaad Ko Yoon Zakham Banatay Nahi Dil KA
Her Teer Ko Paiwast-e-Rag-e-Jaan Nahi KArtay
Ye Masla Abb Ahal-e-Mohabbat Ka Hai Apna
Martay Hain Tu Kuch Ap Pe Ahsaan Nahi Kartay
Khat Laein Na Laein Tera Hum Namaberon Ko
Bas Dekhtay Hain Perishaan Nahi Kartay
Aisa Bhi Tu Rakhtay Nahi Khanjar Pe Galoon Ko
Itna Bhi Tu Qatil Ko Pashamaan Nahi KArtay
Kub Shamein Jalata Hai Shab-e-Mah Main Koi
Tu Aye Tu Hum Ghar Main Chiragaan NAhi Kartay
Logoon Ko Gumaan Taak Nahi Hota Hai Junnon Ka
Hum Dil Ki Tarha Chaak Giraibaan Nahi Kartay
Hum Taij K Chalay Atay Hain Yaroo Dar-e-Janna
Ghalib Ki Tarha Minnat-e-Darbaan Nahi kartay
hmm......... achi sharing hai janab.... kis poet ki hai yeh ghazal????? boht munfarid anzad lag raha hai......
leken maqta main doosra lafz kya hai ???/ hum TAIJ???? kya mtlb?? taij samjhi nahi?
Ahmed Faraz Ki Hai Ghazal Hai
Aur Taij Ka Matlab Chor Aana Hai
oh acha , Faraz Sahab ki ghazal hai .... thnx
acha taij ka mtlb ..chor aana......... plz aap yeh batayen ge k taij urdu main kis se aye ga , tay se ya toyen se???
Tay Aur Jeem Ko Mila Kar Likhnay Se Banta Hai
oh acha...... sahi sahi...... tij hua na... taij likha tha wahi parh rahi thi...... rite rite tij waise daar cheeni ko bhi kehte hain aur tijna...chorna , tarq karna ya dast bardaar huna... oh thank u janab.... asal main yeh lafz boht tang kar raha tha... ab theek hai.........
boht boht achi ghazal hai aur batanay k leye boht shukriya
nice gazal