good
EID or CHAND
har saal ki tarah is saal bhi chand apni roshni se EID k ane ka pata de ga........or har bar ki tarah hum in khushion main magan ho jayen gay,EID to ati bhi nahin hai or hum uski tayari pehle se hi shuru kar dete hain....har taraf gehma gehmi
kisi ko kisi ka duppata chaye hota hai to kahin bache khilonon k liye lar rahe hote hain
is bar bhi kuch alag nahin hoga hamare liye wahi sab khushiyan wahi sab mazak....!!
lekin ISLAMABAD main jo plane aircrash ho gaya un main bhi to kitne hi logon k apne the....?
unhon ne bhi to kuch khuaab dekhe honge,
wo kese EID manayen gay...?
wo to jab bhi kisi ka muskurata chehra dekhen gay unhen kisi apne ki hansi yad aye gi,
jab bhi kisi ko kharidari karte dekhen gay unhen apno ko yad sataye gi,
ese main unk dilon main kitna dard hoga jo wo chah k bhi dikha na paye gay.
Is bar un logon ko EID K CHAND ki roshni se ziada apnon ki yad ki roshni ziada munavvar lage gi,
hum kitne hi plans banate hain EID k pehle din nani k ghar jaye gay,dusre din doston k sath,phir teesre din picnic karen gay........CHAND bhi to esa hi karta hai na,
pele din suraj se milne jata hai to dusre din hawaon ki sath ghumne......!!
EID k din jo log humse bht doooor bhi hote hain hum unse bhi kisi na kisi tareeke se rabta zaroor kar lete hain
lekin wo log kese karen?
wo to sirf unki QABAR per ja kar un k liye duaen mang sakte hain...sirf unhen yad hi kar sakte hain
bachpan main maine bht jagah parha tha or sab bade bhi kehte hain k EID k CHAND se dua mangni chaye......is bar mughe bhi EID k CHAND ka intezar hai...or us se bhi ziada intezar hai MUBARAK RAMZAN k mahine ka
k is bar mughe b bht sari duaen mangni hain
or un duaon main mangni hai un logon ki khushyon ki wapsi
or un k liye bht sara sabar....!!!
Feelings of Afshan****__________________
A single rose can be my garden... a single friend, my world.
good
great shoni
accha likha hai
Ik Muhabbat ko amar karna tha.....
to ye socha k ..... ab bichar jaye..!!!!
beautiful feelings
bout acha likha hai
nice sharing
/up
*~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*
*~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*
پھر یوں Ûوا Ú©Û’ درد مجھے راس Ø¢ گیا