ji bilkul isme koi shak nahi ke Allah usi ko hidayat deta hay jisko khud justuju ho.. insaan Allah ki taraaf ik qadam barhae to Allah 10 qadam uski taraf barhate hain.. apni will ho tabhi koi bhi kaam ho sakta hay.. bilkul thek kaha ap ne..
aur thek kaha ke sukh dukh dono hain..Allah taala ne her chez ko balance rakha hay.. dukh hain to sukh bhi hain.. Andhera hay to Roshni bhi hai.. yaqeenan !! aur yehi mera point tha.. Allah ko dhundne ke liy kisi sehra ya jungle me jane ki zerurat nahi hay.. wo to hamari seh rag se bhi kareeb hai.
70 maaon se ziada pyar karne wala hame gham isliy de ga ke ham uske kareb chale jaen ? nahi.. ebadat ke liy farishte kam nahi hain Allah ke pas jo usy ham jese insaono ki zerurat pare.. agar ham ye samjh lete k Allah ko hmari nahi..hamain Allah ki zerurat hay.. to mai nahi samjhta musalmo ko kabhi zawaal aata.
thanks santi.