Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 10 of 15

Thread: kia iss saal hajj karna zaroori hai

  1. #1
    Join Date
    May 2010
    Location
    Islamabad
    Posts
    3,021
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default kia iss saal hajj karna zaroori hai

    Assalam o Alaikum

    2005 jab zalzila aaya tha tab bhi rozay thay aur ab 2010 ka jab sailaab hai tab bhi rozay hain..... 2005 mein qaum nay barh char kar hissa dala tha zalzila zadgaan kayliye lakin ab vo josh kharosh nazar nahi aa raha hai.....

    iss saal eik laakh 80 hazaar log hajj karnay jaa rahe hain ager yeh loog iss martaba hajj ko na jain aur hajj karnay wala paisa jo eik hajji 2 se adhai lakhh karach karkay aata hai vo agar hum sailaab zadgaan ko dain dein tu aap nahi samjhtey yeh hajj se bhi bara sawaab hoga????

    aisay hujaj jo dosri baar hajj karnay jaa rahe hein unko chahiye vo hajj per na jain aur uss ka paisay ghareeb sailaab zadgaan mein dein day.....

    hajj maldaar per faraz hai agar ghareeb bhookay marr rahe hoon tu hajj per nahi jana chahiye balaky uss hajj kay paisay ghareebon mein dain vo bara sawab hosakta hai......

  2. #2
    پاکستانی's Avatar
    پاکستانی is offline تلاش ہے کسی بیگانے کی
    Join Date
    Aug 2009
    Location
    Land of Silence,
    Posts
    2,325
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: kia iss saal hajj karna zaroori hai

    2005 ma Jab Zalzala aya tha tu Qoam ne Madad ki the , lakin ab bhi karna chahtey hain ,

    Aik Andaze k Mutabiq no doubt yeh kaha ja sakta ha k , Zalzala Musharaf sahab k daur ma aya tha , tab Goverment bhi kuch strong the and unhoo ne kuch na kuch help zaroor ki , logo ko kuch na kuch bharoosa zaroor tha us goverment par ,

    Lakin

    Now agar dekha jaye tu logo ko believe nahi ha Goverment par ,few days back jab ma geo par aik programe sun raha tha tu us par bhi yahe kaha ja raha tha k log agree Madad kar bhi rahe hain and karna bhi chahte hain lakin woh kehtey hain k Goverment , hukmaranoo par un ko bharoosa nahi ,

    and Only the army is doing help , Camps se ley kar food , sab kuch woh provide kar rahe ha , wohi army jis k bare ma log kafi ghalat baatien bhi kartey hain ,

    Hajj par log chaley bhi jaye tab bhi , Pakistan ko Gulf countries , China, and some other countries se jo Madad mil chuke ha woh bhi filhal kafi and more is coming ,

    waisey tu Hajj par jane waloo ko chahye k woh hasb-e-taufeeq agar aisa kar saktey hain tu kare , hajj ALLAH Qabool kare ga , Zindagi ne moqa diya tu phir bhi kia ja sakta ha

  3. #3
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Someone's Heart
    Posts
    25,848
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    24 Thread(s)
    Rep Power
    21474878

    Default Re: kia iss saal hajj karna zaroori hai

    agreed wid pakistani

    or waisay b jitni madad pak ko or countries se mili hai ager wohi sahi tareekay se lagaien na un logon per tu buht kch ker daien un k liye...lakin nai wo paisay un tak pohanchtay he nai.....kher
    SD ki Basanti

    Chal DhanoOo

    I Love the feelings When U Hold My Hand....

    53339010150654137193873 - kia iss saal hajj karna zaroori hai

  4. #4
    Join Date
    May 2010
    Location
    Islamabad
    Posts
    3,021
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: kia iss saal hajj karna zaroori hai

    Quote Originally Posted by پاکستانی View Post
    2005 ma Jab Zalzala aya tha tu Qoam ne Madad ki the , lakin ab bhi karna chahtey hain ,

    Aik Andaze k Mutabiq no doubt yeh kaha ja sakta ha k , Zalzala Musharaf sahab k daur ma aya tha , tab Goverment bhi kuch strong the and unhoo ne kuch na kuch help zaroor ki , logo ko kuch na kuch bharoosa zaroor tha us goverment par ,

    Lakin

    Now agar dekha jaye tu logo ko believe nahi ha Goverment par ,few days back jab ma geo par aik programe sun raha tha tu us par bhi yahe kaha ja raha tha k log agree Madad kar bhi rahe hain and karna bhi chahte hain lakin woh kehtey hain k Goverment , hukmaranoo par un ko bharoosa nahi ,

    and Only the army is doing help , Camps se ley kar food , sab kuch woh provide kar rahe ha , wohi army jis k bare ma log kafi ghalat baatien bhi kartey hain ,

    Hajj par log chaley bhi jaye tab bhi , Pakistan ko Gulf countries , China, and some other countries se jo Madad mil chuke ha woh bhi filhal kafi and more is coming ,

    waisey tu Hajj par jane waloo ko chahye k woh hasb-e-taufeeq agar aisa kar saktey hain tu kare , hajj ALLAH Qabool kare ga , Zindagi ne moqa diya tu phir bhi kia ja sakta ha
    sahi kaha aap nay log ab governemt per trust nahi kar rahe hain.... vo samajhtey hain kay imdaad dein gay tu yeh politicians aur bureacrats kha jaain gay..... aur maazi ko dekha jai tu yeh sahi bhi hai.............. lakin phir bhi koi hamain mechanism banana paray ga............... kisi na kisi tareeqay se credible log jo men of integrity hain unko samnay lain takay vo iss achay kaam ki nigrani karien................

  5. #5
    Join Date
    May 2010
    Location
    Islamabad
    Posts
    3,021
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: kia iss saal hajj karna zaroori hai

    Quote Originally Posted by ~*Rano*~ View Post
    agreed wid pakistani

    or waisay b jitni madad pak ko or countries se mili hai ager wohi sahi tareekay se lagaien na un logon per tu buht kch ker daien un k liye...lakin nai wo paisay un tak pohanchtay he nai.....kher
    wese siso international donors se abhi ziyada imdad nahi milli hai lakin ab lagta hai vo ab jald pehunch jai..............

  6. #6
    پاکستانی's Avatar
    پاکستانی is offline تلاش ہے کسی بیگانے کی
    Join Date
    Aug 2009
    Location
    Land of Silence,
    Posts
    2,325
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: kia iss saal hajj karna zaroori hai

    Quote Originally Posted by Safia View Post

    agar dekha jaye tu pehel hi hamara mulk , Gulf countries ki madad se chal raha ha , iss ki misaal yeh dekh ley k Saudi Arabia jo oild ham ko provide karta ha , us ki Qeemat woh hote ha jitne paise lagte hain nikalne par yani , koi charge nahi hota extra , and international market bohat down , phir dosre taraf se bhi bohat imdad ha Gulf countries ki , jis ki waja na Atomic country ha hamara, muslims k liye aik acha tahafuz sabat ho sakta ha khabhi bhi aur hota bhi raha ha , jab israil and gulf ki jang hoi the tu pakistan army k under aik area tha gulf ma falestine ki taraf shayed woh israil qabze ma nahi ley saka , khair bohat se baatien hain jis ma sabit yeh hota ha k hamara mulk gulf ki imdaad se chal raha ha

    and now jo imdad gulf se aye ha woh bhi nakafi nahi ha balke abhi aur bhi bohat aa rahe ha , baqi countries jitna batatey hain utna detey nahi , like europe wagera , and america ,

    china and some asian countris jo hamare ache friends hain woh bhi kafi help kar rahey hain

    kehne ka maqsad yeh ha k imdad androoni bhi bohat mil rahe ha and beeroni bhi jo filhal mutasreen ko sahe poonch nahi rahe , pehle bhi shayed arz kia ha k sirf army right approch ha , and some other organizations sahe madad kar rahe hain , baqi politicians tu apne siyasat chamkane k chakar ma hain , even Wadeere logo ne jo hukmaranian Qaim ki hoi hain Sindh ma , waha k log Wadeeron k hukm k bagher apna area chorne ko teyar nahi , imdad tu phir bhi Poonch rahe ha ,

    bohat se ghalat kaamo ki waja se bohat se masoom log tabahi ki taraf ja rahey hain , sab ghaltiyan hakoomat ki aur hamare apne bhi kuch ,

    iss se acha tu parveez sahab ne kia tha k Nawab bhughti ko hataya tha , waha jo halat the agar abhi hote tu beechare pata nahi kia ho raha hota (WALLAH ALAM ALLAH sab se behtar janta ha )

  7. #7

    middle east walay imdad kuchh nahi detay..... sub se ziyada imdad iss time pakistan ko america nay di hai.......

    dosri baat jo aap nay nawab bugti wali baat ki ye aap ko nahi karni chahiye thi.... nawab bugti baloch kay qaum kay hero thay.... aap ko pata hai nawab kay marnay kay baad baloch qaum pakistan se separation ki tahreek chala rakhi hai aur punjabiyun ko apna dushman samjhtey hein..... jis tarah nawab bugti ko aap samjhtey hein vo uss tarah ki shakhsiyat nahi thi.... nawab muheb e watan aur natinalist thay.... uss ki aisi koi activities nahi rahi jo country kay khilaaf ho..... hamain provincial harmony ki baat karni chahiye.... na kay aisi baatein kar kay baloch qaum kay zakhmo per namak chhirkain..... nawab bugti baloch kay qaum kay hero thay.... hamain aisi batein karnay se ajtinaab karna chahiye......

  8. #8
    Join Date
    Jan 2009
    Location
    Zameen pay
    Posts
    12,555
    Mentioned
    11 Post(s)
    Tagged
    6388 Thread(s)
    Rep Power
    21474864

    Default Re: kia iss saal hajj karna zaroori hai

    walikum salam
    maine nahi samjhti kay jo app nay kaha wo darust hay Hajj per jana aik alag matter hay or help kern aik alag
    zaroori nahi kay hajj cancle ker kay help ki jaey jisy help kerni hay wo wesay hi ker day ga or ye baat to kahin bhi nahi kay app hajj per na jain help ker dain to zada sawab milay ga
    khair han to baat jahan tak help ki hay logo ka aitbaar khatam ho chuka hay govt say kion kay sub kay ilm main hay wo jo help kery gay wo puri to un kay paas phonchy gi nahi balky govt apny khaty main daal lay gi usy phir wo chaey kisi bhi shakal main help ho
    yakeen manye maine khud daikha hay zalzila zadgaan kay liye jo kapray sub nay diye thay wo bik rahy thay kuch dino baad had hay yaha kay logo per
    Allah to yaad hi nahi raha na jis ka jaha dao chalta hay loot laita hay ye nahi daikhta kis ka haq hay is per Jeasy yahi rhena hay sari umer marna to yaad nahi Hissab kitab daina ye bhi nahi yaad
    Bas Dua hay Allah Un sub ki madad kery Jo is time intehai Mushkilon main Hain Or hum sub ko hi Naik amal kerny ki hidayat ata kery Naik rasty per chalny ki tofeeq Ata kery
    humar Govt per bhi Allah reh kery Kuch to Insaaf say ho Ai help main bhi dhandli hay
    Kamal hay na apni Govt bhi

  9. #9
    پاکستانی's Avatar
    پاکستانی is offline تلاش ہے کسی بیگانے کی
    Join Date
    Aug 2009
    Location
    Land of Silence,
    Posts
    2,325
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: kia iss saal hajj karna zaroori hai

    Quote Originally Posted by Safia View Post
    middle east walay imdad kuchh nahi detay..... sub se ziyada imdad iss time pakistan ko america nay di hai.......

    dosri baat jo aap nay nawab bugti wali baat ki ye aap ko nahi karni chahiye thi.... nawab bugti baloch kay qaum kay hero thay.... aap ko pata hai nawab kay marnay kay baad baloch qaum pakistan se separation ki tahreek chala rakhi hai aur punjabiyun ko apna dushman samjhtey hein..... jis tarah nawab bugti ko aap samjhtey hein vo uss tarah ki shakhsiyat nahi thi.... nawab muheb e watan aur natinalist thay.... uss ki aisi koi activities nahi rahi jo country kay khilaaf ho..... hamain provincial harmony ki baat karni chahiye.... na kay aisi baatein kar kay baloch qaum kay zakhmo per namak chhirkain..... nawab bugti baloch kay qaum kay hero thay.... hamain aisi batein karnay se ajtinaab karna chahiye......
    g nahi na tu ma baloch Qoam k zakhmoo par namak chikrak Raha hoon and na hi mera aisa irada ha ,

    baqi rahe baat un k bare ma baat karne ki aap na jane kis base par yeh baat kar rahe hain and ma kisi aur base par baat kar raha hon

    Rahe baat america ki imdad ki tu america jis tarha se madad kar raha ha woh bhi ham jante hain and , Middle east ma Saudia k bare ma i know k woh kis tarha se help kar raha ha and uae kis tarha se help kar raha ha , Lakin yeh baat tu 100% sahe ha k America apne Mufaad k liye jabke Middle East Sirf Muslim honey k natey hamare Madad kar raha ha ,

    Androoni baatien sirf Pakistan Army ko maloom hain ya Gov k Idaroon ma jo log unche Posts par hain , waqti tu unhoo ne bhi chup le hoi ha lakin Jab woh Gov se Retired ho jate hain tu phir un ki baatien insasn ko samaj ma ate hain k haqeeqat kia ha and Jhoot kia

  10. #10
    Join Date
    May 2010
    Location
    Islamabad
    Posts
    3,021
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: kia iss saal hajj karna zaroori hai

    Quote Originally Posted by Rabi View Post
    walikum salam
    maine nahi samjhti kay jo app nay kaha wo darust hay Hajj per jana aik alag matter hay or help kern aik alag
    zaroori nahi kay hajj cancle ker kay help ki jaey jisy help kerni hay wo wesay hi ker day ga or ye baat to kahin bhi nahi kay app hajj per na jain help ker dain to zada sawab milay ga
    khair han to baat jahan tak help ki hay logo ka aitbaar khatam ho chuka hay govt say kion kay sub kay ilm main hay wo jo help kery gay wo puri to un kay paas phonchy gi nahi balky govt apny khaty main daal lay gi usy phir wo chaey kisi bhi shakal main help ho
    yakeen manye maine khud daikha hay zalzila zadgaan kay liye jo kapray sub nay diye thay wo bik rahy thay kuch dino baad had hay yaha kay logo per
    Allah to yaad hi nahi raha na jis ka jaha dao chalta hay loot laita hay ye nahi daikhta kis ka haq hay is per Jeasy yahi rhena hay sari umer marna to yaad nahi Hissab kitab daina ye bhi nahi yaad
    Bas Dua hay Allah Un sub ki madad kery Jo is time intehai Mushkilon main Hain Or hum sub ko hi Naik amal kerny ki hidayat ata kery Naik rasty per chalny ki tofeeq Ata kery
    humar Govt per bhi Allah reh kery Kuch to Insaaf say ho Ai help main bhi dhandli hay
    Kamal hay na apni Govt bhi
    siso yeh baat theek hai kay lack of trust hai.... zalzila zadgaan ko jo help milli thi vo baad mein market mein cheezein bik rahi thi...... aur ab bhi loog imdad karna chahtey hein lakin loog kuchh issliye mein ziyada interest nahi lay raha hain kay yeh imdad shayad un gareebon tak na puhnchay..... aur baat bhi theek lagti hai.... lakin phir bhi yeh soch kay hum haath pay haath nahi dharay rahna chahiye........ kuchh na kuchh hamain karna chahiye..............

Page 1 of 2 12 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •