Khud apane liye baiTh ke soche.nge kisii din
Khud apane liye baiTh ke soche.nge kisii din
yuu.N hai ki tujhe bhuul ke dekhe.nge kisii din
bhaTake hue phirate hai.n ka_ii lafz jo dil me.n
duniyaa ne diyaa vaqt to likkhe.nge kisii din
hil jaaye.nge ik baar to arsho.n ke dar-o-baam
ye Khaak_nashii.n log jo bole.nge kisii din
aapas kii kisii baat kaa milataa hii nahii.n vaqt
har baat ye kahate hai.n ke baiThe.nge kisii din
ai jaan terii yaad ke be-naam parinde
shaaKho.n pe mere dard kii utare.nge kisii din
jaatii hai kisii jhiil kii gaharaa_ii kahaa.N tak
aa.nkho.n me.n terii Duub ke dekhe.nge kisii din
Khushbuu se bharii shaam me.n jugnuu ke qalam se
ik nazm tere vaaste likkhe.nge kisii din
soye.nge terii aa.Nkh kii Khlvat me.n kisii raat
saaye me.n terii zulf ke jaage.nge kisii din
Khushbuu kii tarah ,asl-e-sabaa Khaak numaa se
galiyo.n se tere shahar kii guzare.nge kisii din
'Amjad' hai yahii ab ke kafan baa.Ndh ke sar se
us shahar-e-sitam_gaar me.n jaaye.nge kisii din