comp main 6 members ne participate kiya.
Rules :
1: Eik Member Eik hi bar Vote Cast Kr skta hai.
2: Apni Share ki Gayi Sharing ko Vote Cast nahi kr skte...
Werna Aap ka Vote Cancel kr diya jaye ga.
3: Polling ki Last Date hai 28 Aug.
comp main 6 members ne participate kiya.
Rules :
1: Eik Member Eik hi bar Vote Cast Kr skta hai.
2: Apni Share ki Gayi Sharing ko Vote Cast nahi kr skte...
Werna Aap ka Vote Cancel kr diya jaye ga.
3: Polling ki Last Date hai 28 Aug.
Paras
Khalil Jibran Ki Kitab Se Iqitbas
Merey qalb o nafs per aik ajeeb si be-khudi taari hay aur main nahi janti k main kya kar rahi hoon ?... lekin itna zoror janti hoon k main tum sey mohabbat karne lagi hoon... ye mohabbat dabe paoo.n mery dill main dar aai hay aur aatey hi meri zindagi ko yaksar tabdeel kar diya hay, tulu_e sehr, ghoroob_e aaftaab aur "CHANDNI RAAT"aur dodhiyaa.n kehkashaa.n.... sabhi meri mohabbat k mazahir hain.
Aaghaaz aur Anjaam, dono ki maftoh o maghloob hoon! donoo.n nay mil kar mujhe shikaar kya hay... mujhe aaghaz sey gila hay na anjaam sey!
bilaal ahmed
ماں کا دل
چاندنی رات تھی۔۔۔۔۔۔ ایک مستانہ خرام جوئبار کے کنارے!دولہا،دلہن رازونیاز کی باتوں ميں مصروف تھے۔۔۔۔۔۔ محوتھے! نئی نویلی دلہن اپنے حُسن وجمال کی رنگینیوں پرمغرور! چاندنی اُن کی بےخودانہ وخود فراموشانہ حالت پر مسکرا رہی تھی۔۔۔۔۔۔!
نوجوان دولہانےکہا:۔” کیاتمہیں میری انتہائی محبّت کا،اب بھی یقین نہیں آیا؟دیکھتی ہو!میں نےاپنی زندگی کاعزیزترین اور بیش بہاترین سرمایہ۔۔۔۔۔ اپنادل تم پرقربان کردیاہے!نثار کردیاہے!!“
دُلہن نے اپنی نغمہ ریز آواز ميں جواب دیا۔
”دل قربان کرنا تومحبّت کے راستے میں پہلا قدم ہے!میں تمہاری محبت کااِس سےبہترثبوت چاہتی ہوں!تمہارے پاس اپنےدل سےکہيں زیادہ بیش بہااِک موتی ہےاوروہ تمہاری ماں کادل ہے۔اگرتم اُسےنکال کر مجھےلادوتومیں سمجھوں کہ ہاں تمہیں مجھ سے محبت ہے!“
نوجوان دُولہاایک لمحہ کےليےگھبرا ساگیا۔اُس کےخيالات ميں ایک قیامت سی برپاہوگئی۔۔۔۔۔۔ مگر بالآخر”بیوی کی محبّت“ ”ماں کی محبّت“ پرغالب آئی ۔۔۔۔۔۔۔۔۔اِسی مجنونانہ، مسحورانہ حالت ميں اُٹھااوراپنی ماں کا سینہ چیر کر،اُس کادل نکال کراپنی دلہن کی طرف لےچلا۔۔۔۔۔ اضطرابِ عجلت میں پیرجوپِھسلاتونوجوان دُولہا زمین پرگِرپڑا اوراُس کی ماں کاخون آلود دل،اُس کےہاتھ سےچھوٹ کرخاک میں تڑپنے لگا۔۔۔۔۔۔۔!اُس دل میں سےنہایت آہستہ شیریں اور پیارسےلبریز آواز آرہی تھی!
”بیٹا کہیں چوٹ تو نہیں آئی؟“
(اختر شیرانی کے افسانے دھڑکتے دل سے اقتباس
___
♥Haya♥
Qudrat Ullah Shahab k shuhra afaq tasneef..."YA KHUDA"...
ab is kitab say aik iqtibas:
kuch dour agay aik jawan aurat apnay jisam ki garmi her mumkin tareekay say apni 4 sala larki k jism me muntaqil krne ki koshish kr rahi thi..is k pas na to kambal tha na lihaf, ne he koi chadar, larki ka saans ukhera ukhera sa tha..is k seenay me ghantian si baj rahi thien..jese bht dour, ufqi lakeer say peray, oonthon ka aik karwan kisi janat gum gashta ki talash me chala ja raha ho,rawan, dawan....jese jese sardi barhti gai..larki k seenay ki ghantiyan taiz tar hoti gaien...us k sans me aik zabardast tanaao a gaiya jese zindagi aur maut k frishtay us ke sans ki larri tham kr apas me rasa kashi kr rahay hun.....
us ka man ghabra gia...bebas ho gai...la char ho gai....us nay kharray ho kr girdo paish ka jaiza liya...zameen per andheray ka siyah kafan charha hua tha..kabhi kabhi chand b apnay lihafon ki oot say jhank kr daikh laita tha...charon taraf sakoot pa kr wo aurat simat kr baith gai...is nay choron ki tarha dazdeeda nigahon say idher udher dekha aur holay holay jhijhaktay hue, sharmatay sharmatay uss nay apne kapre khol kr apni thithri hui bemar bachi ko un me lapait diya...
Andheray me aik bijli si lehrai aur us jawan aurat ka berhana jism kaynat k zaray zaray ko lalkarnay laga k dekho dekho ye lajawab sa'at beet na jay..tum nay arz-o-sama k bht say raz daikhay hun gay..lekin tum is maan ki berhana jism ko na bhool sako gay jis k kapron me is ki marti hui beti lipti parri ho aur barha sakht pala pr raha ho aur store me garm kambal aur lihafon k dhair hun..aur store babu razai me lipta hua "shikwa" ga raha ho aur..................
aurat ka uryaan jism aik galeez gaali bun kr charon taraf chha gaya....raat ki zulmat me ru sayahi ki kalak aur b ziada gehri ho gai...aasman pr jo taray timitma rahay thay ankhain moond kr badlon ki oot me chup gay...chand b apnay lihafon k beech say jhank kr yeh nazara dekhnay ki taab na la saka aik ghanghoor ghata jo asman pr be parwai say bikhari hui thi...simat simat kr akathhi ho gai aur badalon ki palkon say motay motay ansoo girnay lagay...
Tap.... Tap... Tap....Tap ...Tap ..Tap............
boondien baras rahi thien...thithri hui hawa k sun sun siskiyon ki tarha aahien bhar rahi thien......."
Mishaal
shayed aaj kay baad yeh ankhain tumhain na dekh paa'ain! kuch aisa karo kay meri tanhayion main tumhara tassawur haqeeqat main dhul kar munjamid ho jaye
apni chahton ki chaya saraab bana kar meray saath kar do...
tum apni maleeh aur dilkush hunsi aur batain baazgusht main daal kar mujhay musta'ar day do....
apnay nainon ki jot meri teira shubi ko chumkanay kay liye inayat kar do....
apni ungliyon ki poron ki maseehaye meray khuabon ka muqaddar kar do. meri julti aankhon main apnay lub-o-rukhsaar ki shubho'n ki thunduk bhar do...
apni mohabbat ki chandni ki sirf aik kiran meray humrah kar do nahin to mera safar bohat roohkush ho jaye ga.. kuch aisa karo kay yeh aasan ho jaye
aaj sub kuch kah do.....
koi unkahi mat rahnay do....
woh sub jo tum nay kabhi nahi kaha
aaj kay baad hont kuch nahi kahain gay
or kaan kuch nahi sunain gay....
tum say kia kahain
tum ko maloom kia
hum nay kaati hai kaisey shub-e-zindagi
hum nay kaiseyay uthaya hai bar-e-wafa
Novel "bar-e-wafa" writer "Nighat Seema"
voted
Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
Mein Le Kar Bhi,
Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
Behter Hai...!!
voted...............
w salaamz ,
Voted