Paras
Khalil Jibran Ki Kitab Se Iqitbas
Merey qalb o nafs per aik ajeeb si be-khudi taari hay aur main nahi janti k main kya kar rahi hoon ?... lekin itna zoror janti hoon k main tum sey mohabbat karne lagi hoon... ye mohabbat dabe paoo.n mery dill main dar aai hay aur aatey hi meri zindagi ko yaksar tabdeel kar diya hay, tulu_e sehr, ghoroob_e aaftaab aur "CHANDNI RAAT"aur dodhiyaa.n kehkashaa.n.... sabhi meri mohabbat k mazahir hain.
Aaghaaz aur Anjaam, dono ki maftoh o maghloob hoon! donoo.n nay mil kar mujhe shikaar kya hay... mujhe aaghaz sey gila hay na anjaam sey!