Allah Talah ney Hazrat Mousa(A.S) sey farmaya k main ney umat-e-Muhamadiya ko do noor atah farmaye hain ta k wo do andhairon key zarar sey mehfooz rahain. Mousa ney arz kia "Ya Allah ! wo kon kon sey do noor hain?" Irshad hoya "Noor-e-Ramzan aur Noor-e-Quran". Hazrat Mousa ney arz kia "aur wo do andhairey kon kon sey hain?" Farmaya "Ek Qabar ka andhaira aur dosra Qiyamat ka".

Allah key is azeem ehsan per qurban! k Is ney hamain Quran aur Ramzan k noor atah ker diye ta k Qabar o Qiyamat k holnak andhairon main noor hi noor ho jayey. Naiz yahi Quran aur Ramzan roz-e-mehshar musalmano k liye shafahat ka saman bhi farham karain gey. Roza arz karey ga " Ya Rab-e-Kareem! main ney khaney aur khuwaishon sey din main isey roukey rakha, meri shafahat is k haq main qabool farma". Quran kahey ga "main ney isey soney sey baaz rakha, meri shafahat is k liyey qabool farma". Aur dono ki shafahaten qabool hon gi.

Allah hamen Ramzan mubarak ki rehmaton se faiz yab karey aur Quran pak parney ki tofeeq dey. /ameen