As Salam O Alikum
Is bar ap logon ko Biwi,Begum per funny poetry share krni hain
Rules:
Competition mai post krnay ke last date hai 21-09-2010
Aik member aik he potery share kr sakta hai
Edit ke hoi post polling mai shamil nahi kr jaye ge
Aik jsi post mai wo post count ke jaye ge jo pehlay ke gai ho
Ap sab ke Sharing ka intizar rahay ga
Jab se begum ne mujhe murga bana rakha hai
MaiN ne nazrooN ki tarha sir bhi jhuka rakha hai
Bartano! Aaj merey sir pe barastey kyoN ho
MaiN ne tum ko to hamesha se dhula rakha hai
Pehley Belen ne banaya tha merey sir pe Ghomer
aur ab Chimtey ne mera gaal saja rakha hai
Sarey kaprey to jala daley haiN begum ne
tan chupaney ko Banyan phata rakha hai
Wahi Dunya maiN muqadder ka Sikander yahaN Tehra
Jis ne khod ko abhi Shaadi se bacha rakha hai
Pi ja is maar ki talkhi ko bhi haNs ker Nasir
Maar khaney maiN bhi Qudrat ne maza rakha ha
Biwi ko Apni Palko pe Bitha lo.
.
De k Khushi uske saray Ghum Chura lo.
.
Pyaar Aisa karo k sab dekhte reh jaaen.
.
Parrosan bhi aa k kahe "Mujhe Apni Biwi Bana lo."
I am so lonely, broken angel
I am so lonely, listen to my heart
One and only, broken angel
Come and save me, before I fall apart
Begum ko jo hara sake shohar mein dum nahi
Paas hai uske belan, aur bartaan bhi kum nahi
Kassie karega mukabala uss nagin se nalyaak?
Use aate hai fareb sabhi, tere paas koi fun nahi
Jisne bhi uthaya usko, samjho apni jaan se gaya
Chupi Hoti hai gunghat mein dayain, dulhan nahi
Adataan jab ho jati hai rang-e-surk uski ankhein
Goya ke dafataan ruk jati hai bas dhadkan wahi
Haal jo phuche koi apna to sir jukha kar kehte hai
Hai bas zindgi mein gum-e-begum, aur gum nahi
Purane din hawa huye, ab to yeh farman hai
:Jo sir na phOr de apne shohar ka, woh begum nahi:
Last edited by O.o Ashi o.O; 03-09-2010 at 05:28 PM. Reason: sorry i'vE edited bcOz... i pOsted the same pOem as HamXa
like karlo
kOi bhEE aisa lamha nahi. . .
jismEin mEre tU hOta nahi.
Aashi and Hamza Same sharing
okiE edited !
like karlo
kOi bhEE aisa lamha nahi. . .
jismEin mEre tU hOta nahi.
chupke chupke rat din uska bartan manjvana yaad hai
humko ab tak kaprey doney ka woh Zamana yaad hai
dopeher ki dhoop mein kaprey sukhaney ke liye
woh mera kothey pe bhi nangey paoon jana yaad hai
Aa gaya jab sunday ki shab bhi kabhi zikr-e-shopping
woh mera meri biwi se, ATM card chupana yaad hai
saas sasur ki doston ab kya sunaon dastaan
susraal na janey ka mujhey har ik bahana yaad hai
dekh liya jab bhi kabhi rastey mein kisi dusri ladki ko
Biwi ke gussey ko dekh ker mera tartharana yaad hai
waqt-e-rukhsat office, Ab bhi yaad aata hai Mujhay
biwi ke purse se car ki chabi churana yaad hai
second show dekh kar woh mera raat ko ghar der say Ana
Biwi ka gussay se darwaza na kholna yaad hai
Jub Kabhi Itifaqan taway pey roti jal janay per
woh mera tere belan se sir phurwana yaad hai
Jub kabhi tuj se teree umar poochnay per woh tera duppatay mein
Sharmana aur 34 ko 17 bata tey huey muskurana yaad hai
Apni umar chupanay ke liye woh tera munnay ko peetna
Aur Tujhe Mummy nahi baaji bulanay ko kehna yaad hai
haftey baad hi muhh utha ker meikey chaley jana tera
aur mera ghar mein jharoo pochaa lagana yaad hai
khench lena woh tera salary ka lifafa dafataan
aur tera beautyparlor pe woh passey urana yaad hai
yaad hai begum ab bhi woh tera belan se mujhey peetna
aur baad pitney ke tera woh marham lagana yaad hai
aaye din saaley saaliyoon ka aana ghar pe mere
woh tera unkey samney mujhey murgha banana yaad hai
shukar hai meri shaadi nahi hui abhi
shaadi shuda Yaroon ka woh, rona rulana yaad hai !!
Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
Mein Le Kar Bhi,
Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
Behter Hai...!!