Originally Posted by
~*Rano*~
hmmm
apni apni soch apna apna aqeeda hai...
hum bazurgon ko mantay hain..coz wo Allah k wo log hain jin ka zikr quran-e-pak main pehli he surat main ker diya Allah ne....." humiien seedha rasta dikha un logon ka rasta jin per tera inaam howa..."
tu inaam jin per howa wo kon log hain?...ji yahi Allah k naik banday...jin ko hum bazurg mantay hain.....
Allah says those are:
Anbia(A.S),Shuhadaa, Siddiqeen, Saleeheen
or wo log zinda hotay hain..bas dunia se parda hota hai un ka.....jabhi tu un ki kabrien un k mazaar Allah talah ibaad rakhta hai......
buht se log hain jo ais dunia se jatay hain...buht buht naik log b jatay hain ais dunia se....kaya sab k mazar bantay hain...nai....yeh wohi khas log hain Allah k jo aj b apni qabron main zinda salmat hain...
Allah Says:
Har nafs ko mout ka zaiqaa chakhna hai...
kher baki sajday kerna mazaron per ja ker or shirk kerna...yeh imaan ki kamzoori hai....or buht galat cheez hai jo keh nai honi chahiye.....
Rightly said
baki her ik ka apna nazariya hai apni soch hai apna imaan hai....ais per behas nai ki ja sakti....