aik hindu ka shikwa
aik he prabho ki poja agar hum karte nahi
aik he dar pe sar ap b to rakhte nahi
apni sajda gah agar devi ka istehan hai
apk sajdon ka markaz b to qabristan hai
shumar apne devtaon ka jo ham karsakte nahi
ap b tu mushkil kusha apne gin sakte nahi
jitnay kankar utnay shankar ye agar mashoor hai
jitne mazar utne he sajday ye apka dastoor hai
hum pojtay hain agar zameen se oper waloon ko
ap b pojtay hain zameen k andar waloon ko
mushkil waqt ka nara hai apna bajrang bali
ap b to lagatay hain nara e ghos o haidri
hum charhatay hain nazranay butoon par beshumar
ap charhatay hain mazaroon par chadarain shandar
hum mushrik ap b mushrik bat saf hai
jannati tum dozakhi hum ye kahan ka insaf hai
lamha fikrya........aj aisa buhat horaha hai aur hum musalsal in andazon main shirk kar rahay hain magar humain is bat ka ilm he nahi k hum kya kar rahay hain