i agree to rano .. in addition .. bas ye kahunga k kuch bhi ho.. musalman eeman ki badtareen haalat me bhi kaafir se acha hai.kyon ke uske pas touba ka waqt hay.. kafir ka dil siyah kardia jata hay jiske bad usko hidayat nahi milti..ham beshak bohat gunnah gar hain lekin ham ummad-e-mohammadi hain.. ye eezzaz sirf hamen mila hy.. aur mai nahi samjhta ke kisi musalman ka koi compression hay ache se ache kafir se..

han ye zeroor hay k ham islaam se dur hain..daily life me na jane kitne shirk karte hain ..wo hamari ghalti hai..aur uski saza hame kisi na ksi surat mil bhi rahi hay..

Most imp thing i want to mention is that iss poetry me ik bohat bari ghalti hay.. jo mai chahonga ke sab zara ghor karen behas karne se pehle..

wo ye hay k yaha 1 paarsa aur boht religious hindu ka ziker hay jo pooja b karta hay aur apne bhgwan ki fikker bhi.. lekin yaha ik kamzoor eeman ke musalman se usko compare kia gea hay..muqabla hmesha berabari me hota hay..aur hamare nabi (SWW) ka to muqabla bhi nahi hay .. kisi ache sahaba ko hi compare karlein ya kisi wali ko hi compare karlain to bhi ham aage hain... i think yehi answer hay sari baat ka