Quote Originally Posted by Killer View Post

agar behas barae behas karni hayto aap thek keh rahe ho.. baat simple si hay.. ke beshak ham bohat ghalat kar rahe hain ,maine aisa kabhi nahi kaha ke ham bilkul thek hain aap thek se post parhna meri.. shirk jesa k qabaron par sajda karna... ye sab ho raha hay hmaare yahan.. is se kisi ne ikhtalaaf nahi kia..ye reality hay..aur boht ghlat hora hay..aur mai samjhta hun ye sab mazhab se doori ki buniyaad par hora hay.. aap un musalmao ki baat karte ho jo sirf isliy musalman hain k wo mulim ghar me paida hogae..warna namaz quran se dur dur ka inka koi wasta nahi hota..jo ik bar bhi thek se quran parhe..wo kaise kisi aur ko sajda kar skta hay ? jahalat sirf taleemi idare me na jane se nahi hoti.. mai manta hun Islaam se doori b jahalat hi hay..aur aise musalmano ko compare karna.. thts not fair..maine sirf jahil logo ko hi qabro per sajda kare dekha hy.,ap ne shied perhe likho ko bhi dekha ho..hmari society me aise boht jahil hain manta hun,lekin apko 5 waqt ke namazi kyon dikhai nhi dete? compare hi karna hyto unse karo

dosri baat.. meri baat ko ap ne ghlat way me lia jazbaat me a kar.. illogical maine in chezo ko nahi.. is poetry ko kaha jisme ik hindu khud ko musalman se compare kar raha hai..in actuall wo jin so called musalmano ki bat kra hy..wo sirf naam nehad musalman hain.. sache momin per poetry likhna nahi aati inhe.

again clear kardun. maine ye hergiz nhi kaha ke sab thek hora hay aur shirk nhi hora hay.. maine poetry ka kaaha k ye illogical hay k kisi hindo ko naam nehad musalman se compare karna... aur apni apni soch hay aur mai ye samjhta hon.. ap shocked ho ya mera commnt illogical laga to thek hay.. ye meri soch. wo apki

o bhai mere phir bat ko ghalat le gae ho ap...main isko short main xplain karta hoon...dekho ap kehte ho k ye kisi aise banday se compare ki jae k jo ba amal MUSALMAN ho...chalo thek hai us ba amal Musalman k sath hindu ko compare karlya humne hua kya har hisab se wo ba amal banda jeet gaya us hindu se...magar yahan par jo maqsad hai wo ye hai k aise logon ko jo ye sab kar rahay hain jahalat wali harkatain unko jagaya jae...unko is bat ka ehsas dilaya jae k wo jo kar rahay hain wohi kam ghair Muslim b kar rahay hain...unki in harkaton ki wajasay un main aur ghair Muslim main koi fark nahi to wo kis bat par Jannat ki umeed kye hue hain aur unko dozakhi soch rahay hain...


apne kaha k is nazam main hindu ne apne apko aik kamzoor tareen Eeman wale se compare kya hai aur wo kabi apne apko kisi Zabardast Eeman wale se compare nahi kar sakte....main is bat se mukammal tor par ittefaq karta hoon k hindu kabi Musalman ka muqabla nahi karsakta Eemani aitibar se...magar ye b to hosakta hai k ye nazam kisi Eeman wale ne he likhi ho apne un Momin bhaiyun aur behno ko jaganay klye jo is gumrahi main pare hue hain...

Conclusion

end main apni sari bat ko mukhtasar karta hoon k is nazam main aik kamzoor Eeman wale ko islye compare kya gaya hai hindu se takay wo jagay aur sochay is bat ko k wo kar kya raha hai...aur is jahalat ko chor de...ye waja hai usko aise compare karne ki...aur dosri chez ye k hoskta hai k ye nazam kisi Musalman ne he likhi ho momineen ko jaganay klye unki ankhen kholne klye...magar is nazam ko is tarz main likha gya hai k hindu shikwa kar raha hai magar is se kahin ye sabit nahi hota k ye kisi hindu ne likhi hai...jaise wo hamare mazhab k bare main jantay hain usi tarhan hum b kuch na kuch to jante hain unk bare main...kisi Musalman ne likhdi ho hosakta hai ye nazam....