i think experience koshish say ata hai
or sense waqt k sath sath ati jati hai
Aslam O Alakum
zindagi k bare main 2 serious questions hain jin ka jawab chaheye
1st
"Experience age se aata hai
ya Koshish se???"
2nd
"sense waqat se aati hai
ya Experience se???"
Describe and Explain ur thoughts
.
.
Discuss the questions
................................................
i think experience koshish say ata hai
or sense waqt k sath sath ati jati hai
nothing
W,salam
Great questions. laken bezaher ye 2 questions hain laken hy aik hi.
experoence na to waqt se aata hy aur na aur na koshish se balkeh experience koshish ker k apni ghaltion se sabaq seekhnay se aata hy. jehan koshish ho gi weha ghalati bhi ho gi. is ghalati ko samjhna hi derasal experience hy.
expperience ghaltion k seekhny se aata hy
aap ki baat kisi had tak theek ha k experience na to waqt se aata ha aor na he kosish he ,
lakin aap ny sath yeh bi keh diya k experience kosish kr k ghaltion se seekh k aata ha , koi misaal dain gay?
aor bhai yeh 2 question ha ager aap ko aik he lagh raha ha to plz batain k kese ???????????????
wrwb
sawal aap ke dono achay hein, ab dekhiye jawab aap ko mutmain kerte hein ke nahi
expereince age se bhi aata hai aur 'OBSERVATION' and 'THINKING' se bhi aata hai. magar in dono mein khasa farq hota hai.
for example, aik shadi break ho jaati hai, ab meri age ka banda un issues ko discuss karey ga jis se woh shadi toti, mein observe karon gi ke shadiyan kyon totti hein, us per souchon gi, kuch parhon gi ya logo se is bare mein pochon gi.
magar jo banda umer mein bara hota hai, shadi-shuda samjh lein, jis ne zindagi ka aik hisa jiya hota hai, us ka conclusin aur hoga kyon ke us ne sirf woh shadi totiti hue nahi dekhi hogi, us se pehlay bhi dekhin hongi and un ke totnay ki wajh diff. honge.
in short, expereince observation and thinking se aata hai, its a fact. ab yahan aksar member meri baaton se yeh kehtay hein ke tum tou koi 30,40 yrs ki lady lagti ho but i m not, baat yeh hai ke mein kise cheez ko zara ziada gheraye se dekhti hoon.
now the 2nd question.
sense umer ke sath he aati hai and umer he expereince hoti hai. aap ke sath aik waqeya paish aata hai, aap us se kuch seekhtay hein, samjh letay hein, apni ghaltiyan and apni positivity dekhtay hein and usay samjhtay hein. ab yeh wakeya aap ki zindagi ka hisa hai, aur is se aap ne jo kuch seekha woh expereince hai. so therefore, sense to expereince aur umer ke sath he aati hai, han yeh alag baat hai ke kuch log seekhna nahi chahtay, aur sense ko show nahi kerte chahay woh bari age ke hon and jo show kerne chhatay hein woh choti umer mein bhi kerte hein.
koi baat na samjh aye ho tou pouch lijeay ga
Hijab aap ny bohat acha aor detail se jawab diya ha aor main kafi had tak is se itafaq bi krti hun
mera bi kuch asa he kheyal ha, lakin shaid thora sa explain krny main fraq ho
Jahan tak mera kheyal ha Experience ka taaluk na to age se ha aor na he kosish se
balke is ka taaluk haalat aor waqeeyat se hota ha
jis ko jis trha k haalat se wasta prta ha wo us trha ka experience gain krta ha
Aik bacha jis ny ghurbat ki goud main aankh khoki ho ,jis ko aik waqt ki rooti aor tan ko dhanpny k liye phata purana kapra mila ho , us bache ka bhooka rahny ka , logon ki traf reham talab nazron se dekhny ka experience us bache se bohat muktalif h ga jis ny khaate peete gharany main aankh kholi ho
yahan na age count krti ha aor na kosish ,just haalat aor waqeeyat insan ko tajerba dete hain
Jahan tak sense ki baat ha
Mere kheyal main sense ka taaluk bi age ya waqt se nahe ha
yeh insan ka apna attitute ha , is ka taaluk insani nature se bi ho sakta ha k us ki nature main kisi baat ko samajny ki us ko adopt krny ki kitni saalaheyat ha
kuch log aik he trha k haalat se guzarny k bawajod nahe seekhte un ko is baat ki sense he nahe hoti k wo bar bar aik he ghalti ko repeat kr rahe hain
lakin kuch log kisi bi age aor haalat main atne senseable hote hain k dosron k tajerbaat se bi seekh lete hain
ji bilkul i totally agree with you
aap ki expalantions bohat accurate hai and mere bhi yeh he khiyal hai
bara okha sawal ha ,